Khurdan (khana)
hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki jis khuraak ki bu achhi hai us ka khaana kher aur khushi hai aur agar na khushboo hai toh darweeshi aur bechargi ki daleel hai.
hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar khuraak mazain main sheereen hai toh khushi aur shaadi hai aur agar tarsh aur talkh hai toh gham wa andwa par daleel hai aur khwab main khaane ki cheez farookht karne, ziyada baat karne wala aadmi hai.
khana
1. khwab main bartan main khana khana qinaat ki alaamat hai. aur agar sone chaandi ke bartan main khana khate hue apne aap ko dekhe toh ye maal haraam waafir miqdaar main milne ki daleel hai.
2. logon ke darmiyan beth kar khana khana mukhtalif khwahishat ki nishani hai.
3. nigalne wali cheezon ka chabana kasab o amal main khafffat ki alaamat hai aur chabaane wali cheezon ka nigalna deen aur azal ke qareeb hone ki taraf ishaara hai.
4. achhi cheez ki mojoodgi ki wajah se na kha sakna ki durustagi ki alaamat hai aur kadhwahat ya tarshi ki wajah se na kha sakna aamaal o azwaaj ke matgheer hone ki daleel hai.
5. daayein haath se khana sunnat par ghaamzan hone ki taraf ishara hai.
6. aur baayein haath se khana doston se door ho kar dushmanon ki perwi karne ki daleel hai.
7. khwab main kisi dusre ke saath se khana, rizaq, tawwakal aur aufat ki alaamat hai. aur kabhi us khwab ki taabeer beemari aur apne haath se khane par qadir na hone se bhi ki jaati hai.
8. badnuma cheez khana sahibe khwab ki manzilat o martaba ke girne ki nishani hai.
9. chhichadha khana mandarjah zail par dalaalat karta hai amar, aajazi, umar main ziyadati, marz se sahatyabi, ghair shaadi shuda ke liye shaadi, ilm o hidaayat aur rizaq wagera.
10. loki, kaddu khana aatbaa sunnat, hidayat aur zair ki ki alaamat hai.
11. khwab main kisi ka dau pahar ke khane ki taraf daawat dena door safar ki alaamat hai aur nasaf ul nihar ke waqt bulana taab se aaraam milne ki daleel hai. koi shakhs sahibe khwab ko shaam ke khane ki taraf bulaein toh ye taabeer hai sahibe khwab ke saath ayesa shakhs ghadar karega jisne us ke saath us se qabal ghadar kiya hai.
12. khwab main kisi ne khana kha kar us ko hazam bhi kar liya us ki taabeer ye hai ki sahibe khwab apni harfat main mahnat karne main laalach karega.]
13. koi shakhs khwab main apne nafs ka gosht khate hue dekhe toh ye apne maal aur khazane se khane ki alaamat hai.
14. kisi dusre ka lachcha gosht khana us ki ya us ke kisi rishtedar ki ghaneebat karne ki daleel hai. aur paka hua gosht khana gair ke maal khane ki taraf mayashshar hai.