Kaatna khwab main bad kirdar aur dukh dene wala mard hai aur changala ko farsi main malaaq kahte hain agar koi khwab main dekhe ki us ke paas kaatna hai ya kisi ne us ko diya hai toh daleel hai ki ayesi sifat ke aadmi se us ki sohbat aur dosti hogi aur agar dekhe ki kaatne ne uske jism ko zakhmi kiya hai toh daleel hai ki usko kisi bad kirdar aadmi se azar aur nuqsaan pahunchega aur agar dekhe ki kaatna us se zaaya hua ya us ne kisi ko bakhsha hai toh daleel hai ki bad kirdar aadmi ki sohbat se juda hoga.
(haath waghaira kaatna)
1. khwab main kaatna haath dekhna namaz chhodne par dalaalat karta hai ya daleel hai ki maqtua alyad sawal se be pardah hoga aur wese hi maaldar banega ya ishara hai ki gunahon se tauba karega.
2. ek taraf ka haath dusri taraf ki taang kaatna deen main fasaad waqe hone par dalaalat karta hai.
3. maza keer kaatna nasal na hone ya ahalo ayaal ki taraf se qataa taaluq par dalaalat karta hai.
4. naak aur kaan kaatna jurm par aur kabhi faqar par bhi dalaalat karta hai.
5. khwab main zubaan ka kaatna hujjat ke baatil hone ya us par ahasaan karne apr dalaalat karta hai.
6. agar kisi ne khwab dekha ki us ke aazaa kaate gaye toh daleel hai ki woh safar karega aur uske baaz ahal ya beta us se juda honge.
(oon kaatna)
1. agar aurat khwab main jaldi oon kaatte hue khud ko dekhe toh us ki ghaib shuda hceez wapis us ko mil jayegi.
2. agar khwab main oon kaatne ke waqt woh aurat aah aah bhi kare toh woh safar bhi karegi ya phir us ka shohar safar karega.
3. agar aurat khwab main dekhe ki charkhe ka damar toot gaya hai toh ishara hai ki woh safar se aqaamat akhtiyara karegi ya apne safar ke irade ko khatam karegi.
4. agar aurat khwab main rui kaate toh us main dalaalat hoti hai ki aurat shohar par pahle mahar ko chhodh degi taaham phir woh baarah mutaalbah karegi.
5. agar aurat khwab main soot kaate toh daleel hai woh hukumat ki majaalis main janeki koshish karegi.
6. agar aadmi khud ko khwab main rui ya soot kaatte hue dekhe aur woh us kaatne main aurton ke saath mashaba ho toh ishara hai ki woh ya toh zillat haasil karegi ya ayesa kaam karega jo mahmood nahin hoga.
7. agar bareek breek oon kaat raha hai toh ghatiya aur aibdaar kaam karne ki taraf ishara hai aur agar moti oon kaat raha hai toh us main ayese safar ki taraf ishara hai jis main madad bhi shamil haal ho.
8. agar koi khwab main aurat ko rui kaattte dekhe toh us main dalaalat hai ki mazkura aurat apne shohar se khayanat karegi.
9. agar koi shakhs khud ko khwab main oon ya baal ya un daunon jesi koi ayesi cheez jis ko mard kaatte hain kaatte hua dekhe toh woh safar bhi karega aur use kher bhi haasil hogi.
10. agar koi khwab main khud ko oon kaatta hua dekhe toh us main dalaalat hai ki sahibe khwab apne waadon ko taudega.