khwab mein Kashti dekhna


Hazrat daaniyal alayeh alsalam ne farmaya hai ki kashti ko khwab main dekhna gham o andwah woh ya qaid khana hai ya ayesa kaam hai ki us ke karne se us ko ranj aur takleef pahunchegi khaas kar agar dariya se kahsti ho ya kashti darya main hi rah gai ho.

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi khwab main dekhe ki kashti main hai aur wahan se salamati ke saath bahar nikla hai daleel hai ki ranj se nijat paega farmane huq taala hia “hum ne us ko aur us ke saath waalon ko bhare baidhe se nijaat inayat ki” aur agar dekhe ki dariya main kashti tabah hui hai daleel hai kisi qaum ke haath se halaak hoga aur agar dekhe ki us ki kashti zameen par rahi hai daleel hai ki ranj aur bala main girftar hoga aur deer se nijaat payega aur agar dekhe ki kashti gharq hui aur woh salamati raha hai daleel hai ki us ka maal zaaya hoga aur khud bachega aur agar dekhe ki kashti tooti aur sab kuch gharq hua hai daleel hai ki us par badhi museebat aayegi aur agar dekhe ki kashti main oonchi jagah par betha hai aur kashti paani main rahi hai daleel hai ki safar ko jaayega farmane huq taala hai “aur usi ke liye dariya main bhari kashtiyan jhandon ki tarah qaaim hain.” aur agar dekhe ki kashtiyan khadi hain daleel hai ki safar ko jaayega aur der tak rahega balki us safasr main muqeem hoga aur agar dekhe ki kashti main betha hai aur umdah aai hai aur kashti ko achhi tarah chala rahi hai daleel hai ki gham o andwah se nijat payega aur agar dekhe ki kashti khadi hai aur har taraf se mauj aa rahi hai daleel hai ki us ko sakhti aaiygi aur halaakat ka khauf hoga farmane huq taala hai “aur un par har jagah mauj aai.” aur agar dekhe ki kashti us ke aage jaa rahi hai aur woh us tak pahunch nahin saka hai daleel hai ki mushkil kaam main padhega aur aakhirkar khulasi paega. farmane huq taala hai “hum ne usko aur kashti walon ko nijat di.” uar agar dekhe ki kashti ke pahuluo main dariya ke andar gaya daleel hai ki safar ko jaayega aur bahut se faaide haasil karega farmane huq taala hai “tumhare liye kashti ko dariya main chalata hai taki tum us ka fazal haasil karo.” aur dekhe ki kashtiyon main koi cheez na thi aur khali jaa rahi hain daleel hai ki badshah safeeron ko kahin bhejega aur agar dekhe ki kashtiyan gharq ho gai hain daleel hai ki un safeeron ko log rok lenge.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki kashti dariya main gharq hui hai aur jaanta hai ki kashti us ki milk na thi daleel hai ki us ko halaakat ka andesha nahin hai aur agar dekhe ki kashti main betah hai aur badshah se darta hai daleel hai ki badshah ka maqrub hoga aur kashti ki badaai ke mutabiq us ko munafaat haasil hogi aur agar kashti main aman se betha hai daleel hai ki us ko badshah se khauf hoga aur agar dekhe ki dariya main kashtiyan rang birang ke kapdon se aaraasta hain daleel hai ki badshah ka maqrub hoga aur agar dekhe ki kashti dariya ki tah main gai hai daleel hai ki us ko badshah se badi quwat hogi aur agar dekhe ki kashti chalti nahin hai toh uski taaweel khilaf hai.

hazrat ismail ashaat rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki chhoti kashti main betha hai aur woh dariya main chalti nahin hai daleel hai ki usko gham o andawa zyada hoga aur agar dekhe ki kashti paani main rawan hai daleel hai ki safar ko jaayega aur jaldi wapis aayega aur agar apni kashti ko khushki main khadi dekhe daleel hai ki kisi kaam main aajiz hoga.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kashti ka dekhna aath wajah par hai 1. farzand 2. baap 3. aurat 4. sawari 5. khushi 6. aman 7. aish 8. tawangri aur daulat mand.

kashti ka mallah

khwab main mallah ki taabeer jail ka darogha hai baaz kahte hain ki badshah ka wazeer ya masheer aur us ke lashkar ka qaaid aur logon main matusat ki daleel hai ya phir khachchar aur gadha farosh ki daleel hai.

kashti saaz

us ki taabeer bandiyon aur aam aurton ki dalaali karne wala aadmi hai.

kashti baan

khwab main us ki taabeer badshah hai jis ne dekha ki us ke liye kashti chalai gai toh us shakhs ko badshahat izzat, rifaat aur sharaf haasil hoga agar dekhne wala badshah hai toh daleel hai ki us ka lashkar hoga taaqatwar dushman se mahfooz rahega us ki saltanat, izzat aur hebat main izafa hoga.

1. khwab main kashti dekhna gham, ghabrahat, beemari, tangi ya qahat main mubtala shakhs ki nijat par dalaalat karta hai.

2. aur khushki main kashti ko dekhna nijat ki daleel hai.

3. agar us ne us ko zameen par kheencha toh woh qayamat karega aur deen main munafiqat karega.

4. agar woh kashti main kisi nek qaum ke saath sawar hua toh woh hidayat ka atba karega aur allah taala us ko bakshega aur agar woh us se bach gaya toh woh apne dushmanon se bach jayega.

5. agar kisi maazool aadmi ne dekha goya ya ki woh kashti par sawar hua toh woh kisi badshah ki taraf se us qadar wali banega jis qadar woh samandar tha aur us ki wilayat utni hi hogi jis qadar kashti hai aur jis qadar us ki wasaat hai aur jis qadar woh khushki se door hoga us qadar maazul hoga ya woh safar karega aur woh kisi gham main mubtala hoga aur jis qadar woh khwab main khushki se door tha us qadar woh khushali se door hoga aur agar kashti main sawar hona kisi kaam ke mutalik tha woh kisi khatrah main mubtala hoga jis main zindagi ya maut main se koi ek hi hoga.

6. aur agar ye khwab us sakhs ne dekha jo waali banne ke laaiq nahin hai toh woh kisi khatrah main hai jis main use nijat ya halaakat main se ek milegi.

7. aur jo shakhs halaakat ke qareeb tha aur us ne dekha ki woh kashti main sawar hai toh use khushali aur nijat milegi ya woh kisi par khatar aadmi ko pakad lega aur agar woh us se nikal kar khushki main aa gaya toh taabeer hai woh nafarmani karega aur agar sahibe khwab ke saath haath se hukumat gai hui thi ya woh taajir tha aur us ka maal zaaya ho chuka tha toh kashti se muraad hukumat ya maale tijaarat ki wapsi hai.

8. badshahat se mansoob kashti khwab main nikalna dalaalat karta hai mumlikat ke zaail hone par khwah woh maut ki wajah se ho ya zindagi ki wajah se aur agar woh kashti gham ki taraf mansoob ho toh ye us ke liye nijat ki daleel hai kisi dua ya sadqah ya dawa ki wajah se.

9. aur agar woh kashti doob gai aur woh us ki kisi takhte waghaira se latak gaya toh woh wali hai toh daleel hai badshah us par ghazabnak hoga aur woh maazul wali ke qareeb hoga phir jis se woh dar raha tha us se bach jaayega aur us ki hukumat wapis aayegi aur agar woh taajir hai toh ye us ke us maal main nuqsaan ki alaamat hai jis se woh aaraaz kar raha hai.

10. aur agar woh doob gai toh ye bhi doobne wale ki tarah hai aur agar us ne dekha goya ki woh maa kashti ke paani ki tah main chala gaya toh woh logon ke haathon main marega aur khwab main ye marna us ke liye us burai se nijat ki alaamat hogi jis se woh maut ke baad dar raha tha.

11. agar us ne dekha ki woh kashti main hai jo ki samandar main hai toh woh badshah ke maamle main dakhal dega aur bedari main uski wahi haalat hogi jo ki kashti main thi aur kaha gaya ki kashti ki taabeer gham, beemari, qaid ya ayese kaam ki islah hai jis ki woh koshish karta hai aur us ke karne aur na karne main atak jaata hai yani us se bach jaayega aur us main halaak nahin hoga.

12. aur agar dekhe ki us ki kashti gharq ho gai aur us ke takhte tukde ho gai toh ye us ke walid ya chacha ya un jese kisi aur ki taraf se museebat aane ki alaamat hai.

13. agar woh gharq ho gai toh ye pur salamat safar ki alaamat hai aur khaali kashti tijarat main munafa haasil hone ki alaamat hai.

14. jis ne dekha ki woh ayesi kashti main hai jo logon se bhari hui hai toh ye safar main salamati ki alaamat hai.

15. jis ne dekha goya ki woh ayesi kashti main hai ki khadi hai aur harkat nahin kar rahi hai toh ye qaid par dalaalat karta hai.

16. agar us ne us ki rassiyon ko pakadliya aur woh badshah ke kher khwahon main se tha woh badshah ke khaas logon se qareeb hoga aur un se milega aur us ke haath main chappu ho toh woh kisi ayese aadmi ke saath hoga jo thokar khayega aur kisi aadmi ki shirkat se maal payega.

17. jis ne kashti ki rassiyon ko pakad liya toh woh deen ke maamle main achha hoga.

18. aur kisi ayese aadmi ke saath rahega jis ke saath rahne main koi haraz nahin hai aur jis ne un ko juda karna chaha hai tab bhi nahin kar payega.

19. jis ne dekha ki woh bahut badi kashti main tha jo ki khadi thi woh us saal khushal hoga aur us rizaq bada wasee hoga……………..

20. agar us ne dekha ki woh apne ghar walon aur doston samet us main sawar hua toh woh izzat, jamaal, kher aur barkat payega aur dushmanon ke haath se bachega aur agar us ne dekha ki us chhoti kashti main dariya aboor kiya toh woh kisi ayese khatrah main mubtala hoga jis main use gham pahunchega.

21. jis ne dekha ki woh kashti main bade aaraam aur sukoon se safar kar raha hai toh ye sab logon ke liye bhalai ki daleel hai.

22. agar us ne dekha goya ki kashti phat gai aur us main bethe hue logon ka haal bura ho gaya toh ye logon ke liye shar ki alaamat hai lekin jo shakhs qaidi ya ghulam tha toh ye us ke liye qaid aur ghulami se nijat ki naweed hai.

23. agar kisi ne dekha goya ki woh samandar main kashti ke zariye chalne par qadir nahin hai toh koi qaum use qaid karegi aur us ke kaamon aur haalat ki bandish par bhi dalaalat karta hai.

24. chunancha kisi insaan ne dekha ki woh khushki main chal raha hai darakht aur pahad us ke samne aa rahe hain jo ki us ke chalne main rukawat hain toh ye us ke muqeed hone aur kaamon ki bandish par dalaalat karta hai.

25. jis ne dekha ki woh samandar ke kinare par hai aur woh dekh raha hai ki kashti samandar main bade itminan se chal rahi hai toh ye sab logon ke liye bhalai ki alaamat hai aur ye safar par bhi dalaalat karti hai aur jo safar main us ki wapsi par dalaalat karti hai aur baaz dafaa ye ayesi khabron par dalaalat karti hai jo dariya ki taraf se aayenge.

26. agar kisi ne dekha kashti tedhi hain aur chalne main un ki rukawat hai toh kher aur bhalai ki alaamat hai jo bahut jaldi aayega aur kashti ka katna deedaaron, kaamon ke bandish, cheezon aur imaan ko mazbooti se pakadne par dalaalat karta hai.

27. kashti ka baad baan us ke madbar aur malah par dalaalat karta hai.

28. kashti main rihaish dalaalat karte hain khadim ghulamon par aur chappu ye kashti ke chalne par aur kashti wale ki aulaad par dalaalat karte hain aur kashti ka agla hissa kashti ke maalik par dalaalat karta hai toh jo bhi aafat us par ayegai toot phoot ke aatbaar se maalik ki haalat par dalaalat ho.

29. jis ne dekha ki woh kashti main sawar hua toh us ko achanak koi nuqsan pahunchega.

30. jis ne kashti main koi cheez paai toh woh maal ke taalib ke liye maal par aur kunware ke liye shaadi par aur khaleefa ke hawaari ke liye ataa par dalaalat karta hai.

31. jis ne dekha ki woh kashti main hai aur hawa chal rahi hai aur samandar bhi upar chadh raha hai aur us ne us aztaraf ko door kar diya aur us ko zaail kar diya toh woh riyasat aur mazboot badshahat payega aur lashkar bhi us ke mojoodgi aur us ke adam mojoodgi main bhi us ki ataat karenge aur bade bade badshah us ke qareeb honge.

32. jis ne dekha ki kashti khoon par chal rahi hai toh ye zina par dalaalat karta hai.

33. agar us ne dekha ki us ki kashti toot gai aur us ke takhte tukde tukde ho gaye toh us ki maan mar jayegi is liye ki woh us ki kashti thi.

34. jis ne dekha ki us ne kashti khareedi aur woh kunwara tha toh woh shaadi karega ya koi baandi khareedega aur khashti ke chappu ilm par dalaalat karte hain us shakhs ke liye jis ke haath main dekhe hain.

35. hawa main chalne wali kashti us ke sawar ki maut par dalaalat karti hai aur agar ye lashkar par dalaalat kare toh woh toot jayega is liye ki us main aslah aur haakim hai.

36. kashti main mar jana aakhirat ke azaab se nijaat paane ki daleel hai aur duniya main jis cheez se dar raha hai us se nijat payega.

37. jis ne dekha ki kashti toot gai toh ye us ke sawar ke liye nijat hai kyon ki allah taala ka irshad hai tarjuma “ki tune us ko is liye todha taki us main bethne walon ko doobe” toh us wajah se woh kashti badshah ke haath se bach gai jo har kashti ko ghazab karta tha aur kaha gaya ki kashti se muraad moti aurat hai us liye ki arab moti aurton ko kashtiyon se tashbiya dete the aur kashti dalaalat karti hia islam par jo ki jahalat aur fitnon se bachata hai aur baaz dafaa kashti pul sirat par bhi dalaalat karti hai jo ki imaan walon ko aag se bachayega.

38. agar koi beemar shakhs murdon ke saath kashti main sawar hua toh ye duniya ke fitnon se nijat paane par bhi dalaalat karta hai.

39. agar woh beemar na ho aur kashti par sawar hua toh agar woh talab ilm tha toh kisi aalim ki sohbat se faaida uthayega aur ilm haasil karega jis se jahalat se bach jaayega is liye ki hazrat musa, hazrat khizar alayeh alsalam ke saath kashti main sawar hue the aur agar maqrooz aadmi ye khwab dekhe toh uske qarz adaa hoga aur us ka gham zaail hoga aur agar ye koi mahrum aadmi ya ayesa aadmi jis par rizaq tang ho dekhe toh use wahan se rizaq milega jahan se us ka guman bhi na hoga.

40. agar kisi taalibe ilm ne dekha ki us ki kashti use khushki main le aai aur wahan us ko lekar chalne lagi toh woh apne ilm o nijat se bidaat nifaaq aur fasooq ki taraf badhega.

41. agar woh taalibe ilm na ho toh shayad woh apni beewi ki talaaq main haanis ho jaaeyga aur us ke saath usi haalat main rahe ya woh kisi bandi ko aazaad karde aur us ke saath wati karta rahe ya us ki sanaat khatam ho jayegi aur us ka rizaq kam ho jayega aur wahan se meelega jahan woh nahin chahega.

42. hawa main chalne wali kashti ki taabeer dusri tamaam sawariyon ki taabeer ki tarah hai aur baaz dafaa ya badshah ya hakaam ya ulma ya ruisa main jo beemar hua us ki naash par dalaalat karti hai.

43. kashti ki rassi ko pakdna achhe deen aur nekon se muhabbat aur un se juda na hone par dalaalat karta hai.

44. kashti ko khwab main dekhna waalid, walda, aaqaa, modab ustaj, maalam, maal, ghar, sawari, beewi aur baandi par, zaani aurat nek aaamal par dalaalat karta hai jo ki halaakat se aadmi ko bachate hain ya jiska insaan irtakab kare koi kaam kaareegari waghaira aur ye mayyat ke taaboot par aur kaam ke rakhne par aur namaz par aur sunnton par jesa ki eeid ki namaz aur juma ki namaz waghaira par dalaalat karti hai aur kashti ko dekhna khauf aur ummeed par dalaalat karta hai is liye ki us ka sawar nijat ki ummeed rakhta hai aur doobne se darta hai aur kashti baaz dafaa oonton par bhi dalaalat karti hai jo bojh uthata hai aur dalaalat karti hai mushkil ke aasmaan hone par aur khauf se aman par aur baaz dafaa kashti, masjid ya bade bazaar par bhi dalaalat karti logon ke jamaa hone ki wajah se aur kashtiyan khwab main huzur sallallahu alayehi wasallam ke ahale bait ki ghulami par bhi dalaalat karti hain is liye ki woh nijat ki kashtiyan hain aur kashtiyon ka dekhna sharab khaanon par bhi dalaalat karta hai jis main insaan saheeh haalat main ya cheekhta hua daakhil hota hai aur us se nikalta hai aur woh nasah main mast hota hai aur us ki aqal tesh aur gussa main hoti hai aur kashti khud insaan par bhi dalaalat karti hai toh us ke paaon par aur us ke chappu us ke haathon par aur us ka baadban insaan ki aqal par jis se leta aur deta hai aur us ke takhte us ke puttho par aur jo kuch us ke andar hai woh insaan ke andruni aaza par aur us ki rassiyan insaan ki ragon par dalaalat karti hain.

45. aibdaar kashti sahat main mahnat aur koshish par aur ilm aur dushman se salamati par aur faqeer ke ghani hone par dalaalat karti hai aur kashti ka pahad par beth jaana dushmanon se salamati par dalaalat hai.

46. us ka khushki par chalna haasil na hone wali cheez ko talab karne par dalaalat karta hai aur baaz dafaa sakhtiyon aur khatron se salamati par dalaalat karta hai aur agar kashti us ko lekar hawa main udhi toh ye uski maut ki daleel hai naash uthane ki alaamat hai.

47. agar dekhe goya kashti ne us ko samandar main doobo diya hai toh ye us ke jahannmi hone ki alaamat hai.

48. agar us ki kashti lohe ya peetal ki ban gai toh ye us ke taweel umar ki daleel hai ya us ki rahat o aaraam ke humesha rahne ki alaamat hai.

49. agar aadhi lohe ki aur aadhi lakdi ki ho gai toh jis par kashti dalaalat karegi us par mushtabahat daakhil honge.

50. agar us ne dekha ki us ne kashti ko kha liya ya nigal liya toh us ki qeemat khayega ya koi lambi wirasat payega ya oonton ka gosht khayega.

51. agar us ne dekha ki kahsti ne us ke saath woh kiya jo woh chahata hai toh woh jhaaluon se hukumat payega.

52. hazrat nuh alayeh alsalam ki kashti khushiyon aur masarraton par aur baarish ke utarne par dalaalat karti hai lekin agar dekhne wale zaalim ho toh ye qahat aur bala par dalaalat karti hai aur hazrat nuh alayeh alsalam ki kahsti shakhtiyon se aasaani par dalaalat karti hai aur samandar ke musaafiron ke liye gharq se salamati ki alaamat hai aur kunware ke liye shaadi par daal hai aur bade mansab aur dushman par ghalba par bhi dalaalat karti hai.
Exit mobile version