1. taana taantne ya daalne wale ki taabeer ayesa shakhs hai jis ka thikana ya jagah muqarrar na ho aur us ka guzar basar kiraya par dene wale aur aawaazein lagane wale shakhs ki tarah hai ya ishara hai ye shakhs chughalkhor aur dou rukha hai us ka dekhna burai chhod kar achha akhtiyar karne ki daleel hai.
2. agar woh masjid main ho aur jis kapde ka taana taatna hai woh kapda kitaane ka ho ya kaatan ho ya oon ka ho toh ye khwab achha hai lekin agar woh cheez sone ki taarein ya resham ho toh phir ye khwab achha nahin hai.