1. daunon kanpatiyon ki taabeer dau ba barkat shareef bete hain chunancha kanpatiyon main kuch hona achha ya bura beton main kuch hone ki taraf ishara hota hai.
2. kabhi kanpati ki dalaalat beemari se shifayab hone par bhi hoti hai.
3. kisi ke kaanon main bedaari main dard hota ho woh khwab main apni kanpatiyon ko loha hote dekhe toh daleel hai ki kaan ki us beemari se shifayab hoga.
4. kabhi us ki taabeer maal se bhi ki jaati hai.
5. khwab dekha ki woh kisi ki kanpati ukhed raha hai toh taabeer hai ki ukhadne wala ukhade jaane wale ke ayese azeem maal ko zaaya karna chahta hai jis par use fakhar ho.
6. khwab main kanpati ke baal ukhadna ghani ke liye maal ke chale jaane aur ghareeb ke liye qarz ki adaayegi par dalaalat karta hai.