khwab mein Kanghi dekhna


1. kanghee ki taabeer mufeed aadmi hai sharakat aur kisi kaam ka jo iraada rakhta hai us ke dene ki daleel hai ye khwab kher ki bhi daleel hai kyon ki us ke uske dandane ek jese hote hain.

2. baalon main kanghee karna maal ki zakaat hai kanghee ki taabeer aadil aadmi se bhi ki jaati hai aur us shakhs ki bhi daleel hai jis ka kalaam se nafaa uthaya jaata ho jese haakim tabeeb aur waaz baaz kahte hain ki baalon main kanghee karna us chhalni ki daleel haijo khud ko saaf karti hai jese kanghee baalon se mail kuchel ko saaf kar deti hai baaz kahte hain ki khwab main baalon main kanghee karna baidaari main chataai banne ki daleel hai baaz kahte hain ki kanghee ke dandane ki taabeer badhai ki aari hai aur kanghee farhat o saroor par bhi dalaalat karti hai.

3. agar dekhe ki woh sar ke aur daadhi ke baalon main kanghee karta hai toh bahut jaldi us ka gham o fikar door hoga kanghee musawi aur ghair ahbaab wala aadmi hai.

4. agar kanghee lohe ki ho toh woh munafaat wala aur nek musalman bhaiyon wala hai kanghee umare taweel maale kaseer aur dushmanon par ghalba haasil hone ki bhi daleel hai lohe ki kanghee ki dalaalat kitab ki amar wa nahi wale par hoti hai.

5. jo taabeer kanghee ki hai wahi kanghee ki hai neez kanghee ghair shaadi shuda ke liye shaadi ki daleel hai ki us ki shaadi shareef aur takleef par sabar karne wali aurat se hogi usi tarah kunwari ke liye shohar ki alaamat hai.
Exit mobile version