khwab mein Kaan dekhna

Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi khwab main dekhe ki us ka kaan gir pada hai ya kat gaya hai daleel hai ki aurat ko talaaq dega ya us ki ladki maregi ya aapas se juda honge aur baaz ahale taabeer ne bayan kiya hai ki us ki maut qareeb aai hai aur agar khwab main dekhe ki bahra hua hai aur kuch bhi sun nahin sakta hai toh ye us ke fasade deen aur fasade dayanat par daleel hai.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main kaan ka dekhna aath wajah par hai 1. aurat 2. kher aur munafaat 3. dost 4. kahin jaana 5. farzand 6. ghulam 7. maal aur muraad 8. khauf aur dahshat.

kaan

khwab main kaan dekhne ki mandarzah zail cheezon se taabeer ki jaa sakti hai aulaad, maal o mansoob, ilm, aqal o deen, hukumat, ahal o ayaal aur ayesi qaum jis se izzat mile.

1. agar kisi ne dekha ki us ka kaan bada hua ya khubsoorat hua ya us main roshni daakhil ki gai ya us se roshni nikli toh sahibe khwab ke hidayat yafta aur itaat guzaar hone aur allah taala ke adaa mar ko qabool karne ki taraf ishara hai.

2. agar kisi ne dekha ki us ka kaan chhota hua ya us main badboo daakhil ho gai ya us se badboo nikali toh ye sahibe khwab ke gumrah hone aur us ke rahe huq se hat jaane ki aur allah taala ki narazgi ke muqaam par khade hone ki daleel hai.

3. khwab main kaan ka kat jaana ya us ka gam ho jaana fasaad ki nishani hai.

4. khwab main zaaid hone ki soorat main kisi insaan ko kisi maqsad ke liye ijaajat dene se taabeer ki jaati hai. agar zaail kaan khubsoorat hai toh kaam bhi khubsoorat hoga.

5. khwab main kaanon ki kasrat ilmi fanoon ki alaamat hai. ya us ki daleel hai sahibe ajan kaseer ek haalat main nahin rahega aur kabhi uski dalaalat kaan main daali jaane wali cheez par bhi hoti hai.

6. agar kisi ne dekha ki goya us ka kaan hewanat main se kisi ke kaan ki tarah ho gaya toh us ki taabeer ye hai ki us ka mansab zaail hoga, izzat main kami aagyegi ya daleel hai us ka zahan kamzor hoga.

7. agar kisi ne dekha ki apni dau ungliya apne daunon kaanon main daal raha hai toh taabeer ye hai ki us ki maut gumrahi ki haalat main waqe ho jayegi.

8. agar koi mubtda aur gumrah shakhs khwab main apne ungilyan apni kaanon main daalta hua dekhe toh ye us shakhs ki maut aur tark bidaat o dalaalat ki alaamat hai. basawqat kaan main ungliyan daalne ki taabeer sahibe khwab ke mauzan hone se bhi ki jaati hai.

9. badshah ke kaan ki taabeer us ke jasooson se ki jaati hai.

10. baaz dafaa khwab main kaan dekhne ki taabeer hifaazat ki ashiya, batwah, sandooq, khazanah waghaira se ki jaati hai toh khwab main kaan kami wa zyadati ki taabeer mazkurah ashiya main kami zyadati se ki jaati hai.

11. baaz maabreen ka kahna ki kaan ki taabeer beewee ya beti ya kisi aur rishtadaar se ki jaati hai. lihaza agar kisi ne dekha ki us ke kaan main naqs hua toh beewee ya beti main naqs hoga agar dekha ki us ke kaan main zyadati hui toh ye mazkurah afraad main zyadati ki alaamat hai.

12. khwab main kaanon se theek theek sunna us ke ilm o faham, sahat, dayanat aur yaqeen aur yaqeen ki alaamat hai.

13. agar kisi ne khwab main apne aap ko bahra hota hua dekha toh us ki taabeer ye hai ki sahibe khwab main koi deeni fasaad hai ya hoga.

14. khwab main kaan ka aadha hona beewee ke inteqaal ki alaamat hai.

15. agar kisi ne dekha ki us ka kaan kat chuka hai lekin logo nahin samajh rahe toh us ki taabeer ye hai ki koi shakhs us ki beewee ya beti ke saath dhoka karega. agar dekha ki donon kaan apni asli haalat main aayege toh daleel hai woh tauba karega aur islaah ki taraf ruju karega.

16. agar kisi ne dekha ki apne kaanon ki mel kha raha hai toh daleel hai ki woh ladkiyon ke paas aata hai.

17. agar kisi ne dekha ki us ka sirf ek kaan hai toh us ki taabeer anqareeb marne se ki jaati hai.

18. agar koi shaksh khwab main apne kaan main anguthi latakti hui dekhe toh us ki taabeer ye hai ki sahibe khwab apni beti ka nikah karayega aur us ke batan se bachcha paida hoga.

19. baaz maabreen ne kaha hai ki khwab main kaan dekhne ki taabeer deen se ki jaati hai. agar kisi ne dekha ki woh apne kaan main koi cheez bhar raha hai toh ye sahibe khwab ke kufar par dalaalat karta hai.

20. agar kisi ne dekha ki us ke bahut se kaan ho gaye hain toh huq se aaraaz karega aur us ko qabool nahin karega.

21. agar kisi ne dekha ki uske bahut se ek jesa khubsoorat kaan ho gaye hain toh ye achhi khabar aane ki alaaamat hai aur agar woh kaan humshakal o soorat na hon toh ye napasand khabar aane ki daleel samjhi jaati hai. agar kisi ne dekha ki us ke daunon kaanon main dua aankhein bani hui hain toh taabeer hai ki sahibe khwab nabina hoga jin ashya ka mushahida aankhon se karta tha un ko kaanon se sunega.

22. aur baaz maabreen ki raaye ye hai ki khwab main kisi ayese shakhs ne jo dusron ko apna matee dekhna chahta ho bahut saare kaan dekh le toh us ke liye bahtar hai ki beewee, aulaad, ghulam waghaira us ke farman bardaar honge. maaldaar aadmi ke liye bahut se humshakal khubsoorat kaan dekhna achhi khabar aane ki daleel hai. aur kaan basoorat matsha kal na hon toh na gawar khabar aane ki taraf masheer hai. yahi khwab madaa alayeh ke liye us ki khusumat aur ghulam ke liye us ki ghulami barqarar rahne ki daleel hai yahi insaan ke liye duniya ke kaamon main aur aakhirat ke aatbaar se amar bil maaruf aur nahin an al munkir ke maamle main moin wa madadgaar hai.
Exit mobile version