khwab mein Jubba dekhna

Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya ke chogah khwab me aurat hai- agar dekhe ke us ke paas faraakh aur paakiza chogah hai to daleel hai ke us ki aurat nek raaye aur nek sirat hai aur agar usi ke khilaf dekhe to us ki aurat bad khawah aur na mu-afik hai aur agar dekhe ke us ka chogah fat gaya hai ya jal gaya hai to deleel hai ke mard aur aurat me jhadai padegi.



Hazarat jaafar saadik rehmatullah aleh ne farmaya hai ke khwab me sardi ke mausam me apne jism par chogah dekhna nek hai aur 4 wajah par hai

1. awwal aurat

2. daum kuwat

3. saum shadi

4. chohara munfaat

Purana aur mela chogah gam wa anderah hai.



Hazarat jabeer magribi rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar koi khwab me dekhe ke us ke paas chogah hai ya kisi ne us ko diya hai aur us ka rang sabaj hai to daleel hai ke paak deen aurat karega aur agar seela dekhe to fakar mand aur gumnak aurat karega. Aur agar surakh chogah dekhe to aurat aish pasand hogi aur us se mu-afikat na karega.



Jubba

1. Khwab me apne aap ko jubba pehnate hue dekhna ajami aurat ke sath shadi karne ki daleel hai.

2. Rang hua chogah pehanna muhabbat karne wale bete par dalaalat karta hai.

3. Jubba ke upar ka hissa rui ka hona husan-e-deen ki daleel hai.

4. Kisi aurat ka khwab me esa chogah pehnna jiska astar samur ki khaal ka ho kisi jaalim-o-gaasib kisam ke aadami ki sath talaak karke karke apne shohar ke sarth khayanat karne par dalaalat karta hai aur uski dalaalat mand raza jil par bhi hoti hai’ darajayi umar’ maaldari kabhi faqeeri.

5. Garmi ke mausam me jubba pahante hue khud ko dekhna aurat ki taraf se gam pahuchane ya karj ya marj ya mahbus hone ki ya tangi ya aurat ki taraf se takleef pahuchane par dalaalat karta hai.

6. Ahal harb ka khwab me jubba pahane dekhna dushaman se jang ki daleel hai.
Exit mobile version