Joonk farsi me iska naam dewchah hai hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai ke khwab me joonk ko dekhna laalachi dushman hai.
Aur agar dekhe ke joonk us ke gale me gayi hai daleel hai ke dushman uske ghar ke andar uske sath bethega’ aur agar dekhe ke joonk ko apne azu badan se juda kar diya hai aur maar daala hai to daleel hai ke wah dushman par fateh paayega.
Hazarat ibrahim karmani rehmatullah aleh ne farmaya ke joonk ayaal hai jo dusro ka maal khaata hai agar dekhe ke bahut si joonke jamaa huyi hai aur us ka khun choos rahi hai dalee hai ke us khun ke andaaze ke mutabik us ke maal ka nuksaan hoga.
Hazarat jabeer magribi rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar dekhe ke jism par joonk hai aur ka khun chusti hai daleel hai ke dushman se usko nuksaan pahuchega.
Joonk
1. Khwab me joonk wah keede hai jo insaani jism ko kha jaye.
2. Is se ahal-o-ayaal ka gam bhi muraad hota hai.
3. Agar khwab me joonk ko apni naak’ peshaab ya paakhanah ke raaste pet ya manah se nikalta dekhe to uski biwi hamal ke din mukammal hone se pahale bachcha jan degi.
4. Kabhi joonk se muraad gatiyaa azaaye bhi hoti hai.