Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar khwab me dekhe ke moti bechata hai aur wah is ki milkiyat hai – daleel hai ke sahibe ilm-o-deen hoga aur har ek ke saath neki aur ahsaan karega – aur agar sahibe deen hoga to gulaamo ka maalik hoga aur un jawaharat ki qadar-o-keemat ke mutabik is ko maal haasil hoga.
Hazarat jaafar saadik rehmatullah aleh ne farmaya ke agar maslaih aur parsaa hai aur dekhe ke jawaharat bechata hai to daleel hai ke is ko ilm aur deen haasil hoga.
Jawahir
Is ki dalaalat maal aur khadim se par hoti hai – chunaanche khwab me jawahir milna bedaari me khadimo se maal milne ki daleel hai’ khwab me apni anguthi ka naginah ko johar dekhna jo ya kot ki taraf lag rah ho daleel hai ke wah khud ko sharifo me shumaar karta hai magar sharif nhi hai ya gair kaum ke sath tashbah ikhtiyar karne ki daleel hai – aur khwab me anguthi me johar ka naginah daalna maal milne ki daleel hai jis ke baad fikar ka khaatrah hai.