khwab mein Janwaron Ki Awaz Sunna


Hazarat muhammed bin seerin rehmatullah aleh ne farmaya ke logo ka aur janwaron ka khwab me aawaz dena mauj-a ke lie gam aur musibat ki daleel hai’ aur agar dekhe ke us kko kisi dur ki jagah se aawaaz dete hai. Agar us ne khwab jawaab diya to daleel hai ke jaldi marega’ aur agar dekhe ke jawaab nhi diya to daleel hai ke bimar hoga’ aur agar dekhe ke rone ki aawaz aati hai to daleel hai ke khush hoga aur agar dekhe ke usne naal-a suna hai to daleel hai ke koi na khush baat sunega aur agar dekhe ke jaari ki aawaz suni hai to daleel hai ke us ki uski muraad puri hogi aur dushman par fateh payega’ aur agar agar gaali ki aawaz sune to us ko makruh baat pahuchegi aur jaldi jaa-il ho jaayegi.

Hazarat ibrahim karmani rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar koi shakhas khwab me ghode ki aawaz sune to daleel hai ke wah khush khabari sunega.

Aur ba-aj ahal tabeer bayaan karte hai ke jarur us ko koi makruh baat pesh aayegi- kyuki chopaaye jhut nahi bolte hai aur agar gadhe ko aawaz karte sune to daleel hai ke kisi dushman aur jaahil se shuna-at sunega- farmane haq-e-ta-alaa hai (sab aawazo se badi aawaz gadhe ki hai.)

Aur agar dekhe ke oont aawaz de raha hai to deleel hai ke haz ke lie jayega ya tizaarat saud aur faf-a ke saath karega.

Aur agar dekhe ke bakri bolti hai to daleel hai ke kisi bujurg se use kher aur munf-at pahuchegi aur agar bakari ke bachche ki aawaz sune to khushi’ shadi aur nemat ki daleel hai’ aur agar dekhe ke hiran aawaz kar raha hai to daleel hai ke us ko kaniz haasil hogi.

Aur agar khwab me sune ke sher dahaad ta hai to daleel hai ke badshaah se khauf aur taras khayega aur agar chiti ki aawaz sune to daleel hai ke us ko jang aur khisumat padegi’ aur agar dekhe ke bhaagane waala hiran aawaz nikaal raha tha to daleel hai ke koi shakhas us par gajabnaak ho aur apni badaai aur kabar us par zaahir karega.

Aur agar dekhe ke bhediya aawaz deta hai to daleel hai ke dushman par fateh payega aur agar dekhe ke girad aawaz karta hai to aurato ki taraf se gam-o-andehsah pahuchega.

Aur agar lomadi ko aawaz karte sune to daleel hai ke koi jhuta aadami us ke sath makruh hailah karega.

Aur agar billi ki aawaz sune to daleel hai ke us ko chor se khauf hoga aur agar shutur murg ki aawaz sune to daleel hai ke kisi paushidah aadami ki khabar sunega’ aur agar murge ki aawaz sune to daleel hai ke jawaan mard ki khabar sunega aur agar chagad ki aawaz sunnega to daleel hai ke andawah aur musibat ki khabar sunega’ aur agar oollu ki aawaz sunega to bhi yahi daleel hai’ aur agar faakhtaah ki aawaz sune to daleel hai ke jhuti khabar sunega’ aur agar chakor ki aawaz sune to daleel hai ke baazamaal aurat ki khabar sunega aur agar taa-us ki aawaz sune to daleel hai ke azami badshaah ki khabar sunega .

Aur agar kalang ki aawaz sune to daleel hai ke nek aurat ki khabar sunega aur agar lak-lak ki aawaz sune to daleel hai ke dehaati mard ki khabar sunega aur us se khush hoga’ aur agar pahadi chakor ki aawaz sune to daleel hai ke nek aurat ki aawaz sunega’ aur agar bahut saare chakor ki aawaz sune to daleel hai ke pardaah nasheen aurat ki khabar sunega’ aur agar dekhe ke kauwe ki aawaz sunata hai to daleel hai ke haraam khor mard ki khabar sunega’ aur agar chidiya ki aawaz sune to khush khabari sunegaaur agar bul-bul ke nagame sune to mutarab ya noha ghar ki khabar sunega.

Aur agar saaras ki aawaz sune to bhi mutarab ya noha ghar ki aawaze sunega’ aur agar murgaabi ki aawaz sune to daleel hai ke us ko gam pahuchega’ aur agar batakh ki aawaz sune to us ke ahal me se kisi par musibat aayegi’ aur agar murg ke bachcho ki aawaz sune to maatam aur musibat pahuchegi.

Hazarat jaafar saadik rehmatullah aleh ne farmaya hai ke sab murgo ki aawaz khwab me sunna nek hai- magar wah murg ke jis ki aawaz faal bad samjhate hai- kyuki uski aawaz musibat hai.

Aur saanp ki aawaz dushman se taras aur khauf hai’ janbur aur tiddi ki aawaz dar aur khauf par hai aur chhipkali ki aawaz daleel hai ke kisi jagah par utregi.

Hazarat jabeer magribi rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar khwab me dekhe ke aasman se ya zamin se ya hawa se khaufnaak aawaz aati hai to badshaah par gam aur mushibat ki daleel hai aur har chand kher aur shirki tabeer dene wali hai.
Exit mobile version