khwab mein Jangal (biyaban) dekhna


Hazarat daaniyal aleh-issalaam ne farmaya ke bayaban khwab me apni farakhi aur kushadagi ke mutabik aur rizk hai aur agar khwab me dekhe ke bayaban me tanaha hai to daleel hai apni kamaai se bahut saa maal jamaa karega.

Aur agar koi shakhas khwab me dekhe ke ek jama-at ke sath jangal me firta hai to daleel hai ke safar se maal aur ne-amat bahut si hasil karega aur rozi us par kashida hogi.

Hazarat ibne seerin rehmatullah aleh ne farmaya hai ke agar koi shakhas khwab me dekhe ke jangal se bahar aate hai to daleel hai ke gam se nizaat paayega aur agar dekhe aur agar dekhe ke bayaban me gaya hai to daleel hai ke gamgin aur mohtaaz hoga.

Hazarat jaafar saadik rehmatullah aleh ne farmaya hai ke khwab me bayaban dekha 4 wajah par hai-

1. Awwal darjah aur kismat

2. daum hairat aur pareshani

3. Saum dushmani aur ranj

4. chahaaram khauf aur halaakat ka khatrah.

Lekin in sab se bahut jaldi nikalega.



Jangal (bayaban)

1. Khwab me jangal bayaban tang dasti se khulasi aur aasudah haali ke hasul ki daleel hai’ ya tangi ke baad kishmaadagi aur gunah se tauba ki taraf razu-a aur khisaarah ke baad naf-aa ke hasul aur maraz se sehat ki taraf ud karne ki alaamat hai.

2. Chunaanche jo dekhe ke wah wiraan bayaban jagah me hai aur wah fakeer hai to maut aayegi jangal bayaban me chalana be faayeda gurud khuj karne par dalaalat karta hai.

3. Jo khud ko khushki par dekhe to use kishmaadagi aur karaamat hasil hogi.
Exit mobile version