Agar koi khwab me janazah le jaato ko dekhe to daleel hai ke sahib-e-khwab utne logo par hukumat karega- lekin un par julm karega aur agar dekhe ke wah khud mara hai aur usi ka janazah le gaye hai aur log janazah ke pichhe chalte hai- to daleel hai ke shareef-o-bujurgi payega- lekin us ka deen kharab hoga aur usi kaum par hukumat karega-
Aur agar dekhe ke khud murde ka janazah utha kar le jaa raha hai to daleel hai ke badshaah ki khidmat karega- aur us se kher aur neki dekhega- aur agar dekhe ke log us ke janazah ki pichhe chalte hai aur hawa me hai to daleel hai ke us shahar ka koi bada aadmi safar me marega- aur agar apna janazah dekhe ke zameen par jaa raha hai to daleel hai ke safar karega.
Hazarat ibrahim karmani ne farmaya ke agar dekhe ke jindah ka janazah le jaa rahe hai aur us ke pichhe koi nahi hai to us ke izzat-o-martabe aur kaam ke nuksaan ki daleel hai aur agar dekhe ke log us ke janazah ke pichhe the to is ki taawil awwal ke khilaf hai’ agar dekhe ke is ka janazah jaa raha tha to daleel hai ke logo par julm karega.
Aur agar dekhe ke janazah halka hai to daleel hai ke logo par raham karega aur us ka haal nek hoga- aur agar dekhe ke janazeh se gira hai- ya le jaane walo ne us ko gira diya hai to daleel hai ke izzar aur martrabe se girega aur us ka kaam ruk jayega.
Hazarat jaafar saadik rehmatullah aleh ne farmaya hai ke janazah khwab me 3 wajah se hai-
1. Awwal bujuragi
2. Daum daulat saum izzat-o-martaba
3. Raf-at