1. khwab me aankh aadami ka deen aur uski wah basirat hai jis ke zariye wah hirayat aur gumrahi ko dekhata hai jo shakhas apne badan par jitani jyada aankhe dekhe usme utna hi jyada deen aur neki paayi jaati hai.
2. Agar koi shakhas apne dill ki aankh ya bahut jyada aankhe dekhe to bhi uski nooraniyat ki daleel hai.
3. Agar kisi ki aankh ko gusse se surkh dekha to wah aadami uske saath kitnah rakhata hai – aur kisi tadbeer me mashgool hai.
4. Agar kisi aadami ne us par aankhe kholi to wah aadami uske kaamo ki nigarani kar raha hai.
5. Agar dekhe ke uski aankh lohe ki hai to uski pardah-dari hogi – aur use logo se shadid gam pahuchega.
6. Agar aankh ko zina karte dekhe to wah aurato ko buri nazar se dekhta hai.
7. Agar kisi ne aankh ko dekha aur wah use bhali lagi to wah esa kaam karega jo uske deen ke liye wa-baal hoga.
8. Agar apne pet ko faad kar dekha aur usme se kai saari aankhe nazar aayi to esa aadami zandik hai.
9. Agar apne kandhe par kisi aadami ya jaanwar ki aankhe dekhe to use gaibi maal haasil hoga.
10. Agar apni aankh surkh dekhe to apne dost ki biwi ko shaq ki nigaah se dekhega.
11. Kaali aankh deen.
12. Siyaah surkhi maail aankh deen ki mukhalifat’ neeli aankh bad-at par dalaalat karti hai.
13. Sabz aankh esa deen hai jo digar awyaan ka mukhalif ho.
14. Aankh ka gehara hona har ek ke liye achha hai – jabaki kamjor hona maali mohtaazi ki daleel hai – kyuki maal bemazalah aankh hai – agar sahab-e-aulad ye khwab dekhe to uski aulaad mariz hogi.
15. Agar aankho ko khatam hote dekhe to uski aulaad kot hogi – agar faqeer aur kaidi ye khwab dekhe to unka faqar aur kaid khatam ho jayega – agar makhur aadami ye khwab dekhe to use koi dastageer milega jo uski musibat ko dur karne ke liye uska sahaara banega jesa ke nabina ka hath bahut se log pakadate hai uski khidmat karte hai aur raase aaram pahuchaate hai – agar aankh ko musaafir ya wah aadami jo safar ka iraadah rakhata hai dekhe to uske watan na lautane ki daleel hai.
16. Agar khwab me logo ko ladate huwe or khud ko nabina dekhe to apne dushman se zaahil rahega.
17. Agar dekhe ke uski aankhe ajnabi ki aankhe ban gayi hai to uski binaayi khatam hone ki alaamat hai – nez ya digar hazaraat se rehnumayi haasil karega.
18. Agar sahab-e-khwab us ajnabi ko jaanta ho to fir us ajnabi se apni beti ki shaadi karne ya usse naf-a haasil karne ka ishaarah hai.
19. Agar dekhe ke uski aankhe uski gaud me ghir gayi to uska beta ya uska bhai faut hoga.
20. Agar khwab me dekhe ke khubsurat aankho wali aurat ka malik bana hai to kisi zaahil ahmak aurat se shaadi karega.
21. Khwab me aashub chashami dekhna deen ka nafas hai.