khwab mein gurdah dekhna


1. us ki dalaalat mueen wa madad gaar par hoti hai ek gurdah hona mueen ke gham hone ki alaamat hai.

2. daunon gurdon ka fail hona qasawat qalbi ki alaamat hai.

3. daunon gurdon ki dalaalat muqaam ghani o muqaam sawab aur muqaam bayan o khata par hoti hai.

4. khwab dekha ki us ke daunon giron par charbi hai toh daleel ahi ki sahibe khwab maal daar khub bolne wala aur durust raay rakhne wala makkar shakhs hai.

5. daunon giron ka kamzor hona us ke faqeer hone aur saaib al raaye na hone par dalaalat karta hai.

6. gurde ki dalaalat bhaiyon tamaam rishtedaaron aur aulaad par bhi hoti hai aur usi tarah us ki dalaalat ungliyon par aur ungliyon ki dalaalat giron par hoti hai chunancha ungliyon main kuch hona giron main kuch hone ki daleel hai.

7. khwab main giron ko dekhna achha hai aur kabhi gham aur tandrusti ke khatam hone aur khatrat se salamati par dalaalat hai aur kabhi dau beewiyon aur maan baap aur doston par bhi dalaalat karta hai daunon gurde ayesa taqatwar sakht aadmi hai jo sarkari amoor main jari aur badshah se maal nikaal kar logon main taqseem karta hai baaz ne kaha hai ki badshah ke maa wa neen main se hai.
Exit mobile version