Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki gulaab ka peena maale halaal aur pak deen hai agar dekhe ki us ko kisi ne gulaab diya hai aur us ne peeya hai toh daleel hai ki us ko usi qadar maale halaal hasil hoga aur neej is ke atqad pak aur durusti deen ki daleel hai aur agar dekhe ki us ko kisi ne gulaab diya hai toh daleel hai ki is se khair o munafaat payega aur agar dekhe ki gulaab peeya nahin hai balki zameen par giraya hai toh iski.
1. us ki dalaalat shareef mard ya waalid ya kisi gham shuda mard wa aurat ki aamad par hoti hai.
2. kisi ne khwab dekha ki woh gulaab ka phul chun raha hai toh taabeer hai ki woh karamat wa muhabbat aur nemat payega.
3. baagh se safed gulaab chunna mutaqqi wa parhaiz gaar aurat milne ki alaamat hai aur surkh gulaab chunna lahu o laab wali aurat milne ki daleel hai.
4. khwab main peele rang ka gulaab soongna mareeza aurat se nikah karne par dalaalat karta hai.
5. kisi ke haan hamila hua ho aur woh khwab khwab main gulaab ki kali dekhe toh taabeer hai us ki hamila ka hamal saqit hoga baaz ulma taabeer ne kaha hai ki gulaab ki dalaalat juda hone wali ya marne wali beewi par hoti hai aur kabhi jaldi khatam hone wali khushi aur kabhi baaqi na rahne wale eid par us ki dalaalat hoti hai.
6. khwab dekha ki kisi jawan shakhs ne us ko gulaab ka phul pakada diya toh woh us ke saath ayesa waada karega jo purana kar sakega.
7. kisi ghair shaadi shuda ka khwab main apne sar par gulaab ka taaj dekhna un ki shaadi hone ki alaamat hai.
8. phaila hua gulaab ka phul duniya ke be sabat khushi ki alaamat hai.
9. kabhi us ki dalaalat pakiza shohrat par bhi hoti hai aur gulaab ka tail zahan ki safai hoshiyari aur logon ke haan taqarrub haasil karne ki daleel hai aur kabhi uski dalaalat khushi wa saroor par hoti hai.
10. kisi beemari shakhs ne khwab dekha ki us ke neeche gulaab ke phul bikhre pade hain ya gulaab ke phulon ka libas pahan rakha ya gulaab ke phulon ko pahan liya toh woh chaalees din ke baad mar jayega is liye gulaab ke phul ki muddate umar kal chalees din hai aur baqaul baaze maabreen gulaab kisi musafir ya kisi qism ke khat ki aamad par bhi dalaalat karta hai.
11. khwab main darakhte gulaab ko katna biadaari main gham wa hazan laa huq hone ki alaamat hia aur baqaul gulaab aur us ka darakht takleef daah kaamon aur qaumon par dalaalat karte hain aur kabhi peele rang ka gulaab beemari aur surkh rang ka gulaab khub soorati ki alaamat hota hai aur basa awqaat safed gulaab darahim par aur surkh dana neer par dalaalat karte hain aur surkh gulaab ki dalaalat sareeh hai.