khwab mein Goonga Pan


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi khwab main dekhe ki goonga ho gaya hai daleel hai ki woh darwesh aur bad haal hoga.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar koi apne aap ko khwab main goonga dekhe toh us ki tabahi aur nuqsaane deen par daleel hai farmane huq taala hai woh bahare goonge andhe hain aur woh ruju nahin karte hain.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main goonga hona saat wajah par hai 1. darweshi 2. badhaali 3. gham o andwa 4. nuqsan aish 5. museebat 6. nuqsaane maal 7. deen ka nuqsaan aur agar goonga khwab main dekhe us ki zubaan kashada ho gai hai daleel hai ki us ka ruka hua kaam kashada ho jayega.

1. us ki dalaalat deen main fasaad waqe hone par hoti hai.

2. chunancha khwab main dekha ki woh goonga hua hai toh daleelhai ki woh sahaba kiram radi allah nahum ko gaali dega ya alaamat hai ki shareef logon ki ghabeeyat ka murtakib hoga ya us ke faasiq hone ki alaamat hai madarzaad goonge ki dalaalat jaahil par hoti hai.

3. haakim ka khwab main goonga hona us ki hujjat ke baatil hone ki alaamat hai ya kalaam ki zaroorat ke moqe par khamus rahne ki daleel hai maslan gawahi waghaira dene ke moqe main.

4. aur haakim ke liye goonga hona hukumrani se se maajul hone par bhi dalaalat karta hai.

5. albtta aurat ke liye us ki taabeer achhi hai.

6. kisi ne khwab dekha ki us ki zubaan band ho gai hai toh daleel hai fasahat wa faqahat aur rizaq aur rizaq se bahra mand hoga aur apne dushmanon par ghalba payega.
Exit mobile version