khwab mein ghalia (khushboodar poda) dekhna

hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main ghaliya daana aur mashoor shakhs hai aur agar dekhe ki us ne kisi ko ghaliya diya hai daleel hai ki woh shaksh us se adab aur danaai seekhega.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki ghaliya hajj ka nishan hai aur ahal taabeer ne bayan hai ki ghaliya maal hai jo sardar se milega aur agar dekhe ki us ne ghaliya paya hai daleel hai ki sodagar mard ya aurat se nafaa paega aur agar dekhe ki kisi ne us ki aankh par ghaliya mala hai daleel hai ki us ki jagah woh huq guzari karega aur log us ke liye dua kareinge aur agar dekhe ki us ne us ke kaan ke neeche ghaliya mala hai daleel hai ki us par jhoot bolne ki tohmat lagayege.

hazrat jaaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main ghaliya paanch wajah par hai 1. adab danaai 2. sana aur shabash 3. hajj islam 4. maal aur muraad 5. kher aur munafaat.
Exit mobile version