khwab mein Gardan dekhna


Hazrat daniyal alayeh alsalam ne farmaya hai ki khwab main gardan ka dekhna amanat aur deen ki jagah hai aur agar dekhe ki us ki gardan moti hui hai daleel hai ki us ko amanat adaa karne main quwat aur deen ki hifaazat main dayanat hogi aur agar dekhe ki us ki gardan ko taah talwaar aur zaeef hai daleel hai ki amanat guzarne main aajir hoga aur agar dekhe ki saanp ne us ki gardan main halqa maara hua hai daleel hai ki zakaat nahin deta hai farmane huq taala hai bukhal ke baas un ki gardanon main qayalmat ke din tauq daala jayega aur agar apni gardan par girai dekhe haalanki us ki gardan par koi cheez nahin hai daleel hai ki beemar hoga aur agar dekhe ki us ki gardan par bojh hai aur us ko girai maalum nahin hoti hai toh durusti deen aur daraazi umar par daleel hai.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki us gardan qawi aur moti ho gai hai daleel hai ki amanat achhi tarah guzaarega aur us ka kaam qawi hoga aur agar apni darazi dekhe daleel hai ki us ke zimme amanat der tak rahegi aur apni gawahi dene se rukega aur agar apni gardan ko taah dekhe daleel hai ki apne zimme se amanatein jaldi door karega aur agar din siyah dekhe toh amanat main khayanat karega aur apni gardan tooti hui dekhe daleel hai ki apni muraad se rukega aur us ke deen main khalal padega kyon ki koi amanat deen se badi nahin hai aur agar apni gardan ko taah dekhe daleel hai ki amanat main khayanat karega aur agar apni gardan par baal dekhe daleel hai ki amanat adaa karne ke baas qarz daar hoga aur agar apni gardan se baalon ko munde daleel hai ki qarz utarega aur agar gardan se gosht ko kata hua dekhe daleel hai ki kisi ka maal us ke paas hoga aur woh zaaya hoga aur agar gardan ko kotaah dekhe toh daleel hai ki amanat main khayanat karega.

hazrat jaabir magharibi rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar dekhe ki apni gardan ka gosht khata hai toh us ki taweel khilaf hai aur gardan dekhe ki kisi ki gardan par baitha hai daleel hai ki dushman par fatah payega.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main gardan ka dekhna paanch wajah par hai 1. amanat 2. tawanai 3. khayanat 4. qarz 5. beemari.

1. khwab main gardan ki taabeer amanat ka mahal hai jis ne apni gardan ko mazboot dekha toh woh amanat qaim karne wala hai aur aajir hai.

2. jis ne gardan main saanp lapeta hua dekha toh woh maal ki zakaat nahin deta hai.

3. agar haakim moti gardan dekhe toh woh taaqatwar hai apne adal aur ghazab main apne dushmanon ke liye.

4. jis ne gardan main dard mahsoos kiya toh woh maashrah main ya amanat ki addayegi main bura hai.

5. jab gardan main juda ya haar dekhe toh us ke zimma jamaa shuda marz se theek ho jayega.

6. agar kisi ki gardan par amrud berash ladke ne maara toh khwab dekhne wala mar jayega kyon ki be resh ladka mushaba farishta hai.

7. agar ghamzada shakhs ne apni gardan par zarab lagai toh allah taala us ke gham ko door garmayega aur agar ghulam hai toh woh azaad hoga aur agar qarz us ke zimma hai toh us ko adaa karega aur us se chhutkara payega aur ayesa hi qaidi qaid se nikal jayega aur gardan wilayt shahadat aur wasiyat aur zakaat aur deen jo us se mutaaliq hai ka mahal hai.

8. jis ne apni gardan ko khubsoorat mota aur apne badan ke saath mojudon manasib dekha toh ye us ke mansabe jaleel par faaiz par hone ki daleel hai aur woh logon ke darmiyan us mansab par apni gardan ke zariye taweel muddat tak barqarar rahega.

9. agar shahid ho toh us se bari al jimma hoga jis ki adaayegi ke liye koshan hai aur agar us ke paas koi wadiyat ki cheez hai us se bhi chhutkara payega usi tarah wasiyat ya zakaat ka maal adaa karega ya qarz adaa karega jo us ke zimma hai ya us ke bar aks yaani agar us ka kisi ne qarz dena ho woh bhi us ko adaa karega.

10. jis ne apni gardan main thode ya peep ya bahne wala khoon dekhe toh jini cheezein hum ne maa qabal zikar kiyein un main mashghool hone par dalaalat karta hai.

11. agar apni gardan par kitaab dekhe toh woh apni zimma daariyan jo us ke aur allah taala ke mabain ahin puri karega.

12. mayyat ki gardan ka khubsoorat hona un tamaam cheezon se baraait ki daleel hai jo upar zikar ki gai hain.

13. jesa ki musaafir ki gardan ka khubsoorat hona uske salamati ke saath wapis aane par daleel hai.

14. aurton ki gardan un cheezon par daleel hai jo woh apni gardan main banai hain haaron waghaira main se aur ayese hi bachcha ki gardan.

15. jis ne apni gardan main rassi ya ladi jawahrat aur motiyon ki dekhi toh ye us ke fazal aur ilm aur qaim bil huq hone ki alaamat hai.

16. agar nabi kareem sallallahu alayehi wasallam ko dekha ki woh us ki gardan par chhutki laga rahe hain to buri taqleed aur ghalat itbaa karne ki wajah se ye daant pad rahi hai aur kabhi ye khwab adaayegi qarz aur shifaa e marz ki alaamat bhi hota hai.

17. jis ne apni gardan ko dekha na zyada lambi na zyada chhoti hai agar bure akhlaaq wala hai toh akhlaaq achha kar lega aur agar bahadur hai toh us ki bahaduri main mazeed izaafa hoga aur agar bad mazaah hai toh kareem wa sakhi ban jayega aur gardan aur daunon kandhe amanat aur qarz ke mahal hain kandhe ki taabeer aurton ki amanat hain aur gardan ki taabeer mardon ki amanat hain.

18. jis ne apni gardan par safed parinda dekha toh us ka achha amal hai.

19. agar siyah hai toh bura amal hai.

20. agar dekha gardan main mushif toh woh qaim bil huq ahi aur waade ke saath bhi qaim hai aur ilm padhane aur quraan ki tilawat ki bhi daleel hai.

21. khwab main ye aazaadi aur mumlikat par dalaalat karta hai.

22. agar kisi ghulam ne apne gardan main ghulam dekha toh us ki ghulami baaqi rahegi.

23. aur agar gardan juda ho gai toh ye us ki azaadi par dalaalat karta hai.
Exit mobile version