1. khwab main baghair baarish ke garj khauf ki alaamat hai.
2. aur garj waeed aur baarish ki taraf darawa bhi hai.
3. aur kabhi ye achhe anjaam achhe maamlat par bhi dalaalat karti hai aur ye dholon ki aawaaz bhi hai agar garj dekhi toh daleel hai ki woh qarz adaa karega agar beemar ho toh tandrust ho jayega agar qaidi ho toh aazaad ho jayega.
4. garj bijli aur baarish musaafir ke liye khauf aur muqeem ke liye laalach ka zariya hai.
5. aur garj police officer se bhi taabeer ki jaati hai.
6. agar kisi ne kisi shahar main garj dekhi ya garj ki oonchi aawaaz suni toh wahan ke log achanak mar jayenge aur un main fitna wa qatal hoga.
7. garj ki aawaaz dushmani aur jhagde par bhi dalaalat karti hai ayese hi deen main nuqsan aur maal main khasara par bhi kabhi dalaalat karti hai.
8. agar baarish ke saath garj dekhi un daunon main jabki log bhi baarish ke muntazir hon aur aawaaz bhi halki ho toh woh us muhalle walon ke liye sar sabz wa shabashi ki nishani hai.
9. agar kisi ne garj baghair chamak ke dekhi toh ye ghaiban makar aur chhoti baat par dalaalat karti hai.
10. agar kisi ne garj dekhi toh woh badshah se napasand dekhega.
11. aur garj ke saath taareeki aur chamak ho toh usmein koi bhalai nahin kyon ki ye deen se murtad hone par dalaalat karta hai bil khusus jabki us ke saath zalzala ho ya khwab us zamana main dekh raha ho jabki us ki ghaltiyan na ho.
12. aur baarishon ke mausam main sunna khushkhabri khair o barkat par dalaalat karta hai.
13. aur agar mausam main na ho toh ye lashkar main kisi jung ke liye harkat ya fitna par dalaalat karta hai kabhi kabhi us ka sunna allah taala ki tasbeeh wa tahleel par bhi dalaalat karat hai ayese hi kabhi beemariyon ya kisi khushi ke liye wa faut ke suune par bhi dalaalat karta hai.
14. agar us ka sunne wala gunahgaar ho toh daleel hai ki woh tauba karega ya kaafir ho toh musalaman ho jayega ayese hi us ka sunna kabhi bahrepan par bhi dalaalat karta hai jahan tak us ke hukumat ka taaluq hai baaqi garj ka hukum raha.
15. agar garj ki aawaaz khwab main suni aur woh yakam october ka din ho toh ye mulk shaam main maut waqe hone par dalaalat karti hai.
16. aur agar october ke pahle chhah dinon main ho toh daleel hai ki us ka khana kam ho jayega aur mashrubaat aur phal misar mai zyada ho jayenge.
17. aur agar aakhir mahina main ho toh daleel hai ki mulk shaam main waba phutegi.
18. aur agar pure mahine main rahi toh ye darindon ki kasrat par dalaalat karti hai.
19. aur agar khwab main aawaaz suni aur ittefaqan woh november ka mahina tha toh mulk bareer aur misar main khair o barkat zyada hogi aur shaam ke dau kaafir shahar fatah honge aur ho sakta hai ki koi dumdaar sitaara zaahir ho aur shaam main ghulam banaye jayen ya ho sakta hai ki arbon ka koi badshah mar jaye parinde halaak hon aur mashriq main zulm ho aur be zarar aur be nafaa baarish ho.
20. aur agar khwab main garj ki aawaaz suni aur woh december ke pahle dus din hon toh ye us baat ki nishaani ha ki undulus ke bade bade log mareinge unke haan mahangai ho jayegi un ke badshah zulm karenge fasaad zyada hoga gundam achhi hogi aur phal kam ho jayenge.
21. aur agar pahle saat dion main khwab dekhe toh sardi khushk thandi padegi aur bahar maatadil.
22. aur agar ki aawaaz suni aur woh january ki chha dinon main aa rahi ho toh ye us baat ki nishani hai ki mulk iraq main zalzale aur dhansna hoga gaye aur maweshi halaak ho jayeinge galla ki farawani hogi.
23. aur agar ye junuary ke aakhir main dekha toh suraj girhan hoga aur maghrib ke hukumaranon main se kisi ki maut ki nishani hai.
24. baaz ne kaha ki koi sitaara namoodar hoga jis se kisi bade shahar ki tabahi ka khatra hoga mulke shaam main beemari aur aashub chasm ki beemari phelegi.
25. aur agar khwab main garj ki aawaaz suni aur woh yakam february ka din ban raha ho toh ye zameen ki zard kheezi aur us ki nashon wa numa ki dalaalat hai aur ye ki bhao kam honge habsha main ghabrahat hogi.
26. aur agar february ke aakhir main ho toh ye us baat par dalaalat karta hai ki maghribi badshahon main se koi apni zameen se dusri ki sarhad ki taraf niklega aur mukhalifat main us sar zameen ke khaeton wa baghaat main se us ka koi mukhalif neklega aur ye thodi der hi qabza bar qarar rakh sakega.
27. aur agar garj ki aawaaz suni aur woh din march ke ibtadai chha dinon main se hon toh ye sar sabz wa shadaabi aur khabar par dalaalat karta hai siwaye gundam aur angoor ke tail ki zyadati hogi tijarat par aman hogi ek badshah apne shahar se halmah karta hua dusre shahar par yurash karega aur kamiyab hoga ek muddat tak maftuhla ilaqa uske zere tasllat rahega wahan khus wa kharam rahega phir sar zameen rum ki taraf niklega aur hajar al sam qilaa ko fatah karega bade bade sardar sipah salaar aur us ghar ke raeeson ko qatal kar dega mulke shaam ki zameen zard ho jayengi.
28. aur agar maahe march ke aakhir main ye khwab dekhe toh dandiya zyada hongi gaye aur bakriyan kasrat se mareingi.
29. agar khwab main march ki awaaz suni aur woh din ikkisween april ka ho toh ye zameen par khezi aur farawani ki nishani hai neez baarish kasrat se honge phal pakenge rum apne ilaqe se nikal khade honge aur ho sakta hai ki maghrib walon ke saath un ki mutbhed ho jaye.
30. aur agar yakam april ko dekhe aur din bhi itwaar ka ho toh daleel hai march par yashaniyan namoodar honge rum main baghawat hogi unki badshah mar jayega woh shikasht kha jayeinge un main taaun ki beemari phail jayeingi shaam us aafat se mahfooz rahega lashkar dusre shaharon ki taraf nikaleinge toh us main fasaad karte phireinge.
31. aur agar khwab main garj ki aawaaz april ke chaar dinon main dekhi toh ye kashadgi ki alaamat hai aur gundam aur angoor achhe honge logon main ikhtilafat honge beemariyan badhegi khaliyanon ko khatrah laa huq rahega.
32. agar gyarah april ko ye khwab dekha toh daleel hai logon ko zalzalon aur takleef ka saamana karna padega.
33. agar terah ko dekha toh logon ko sakht mahangaai dekhni padegi.
34. satrah ko dekha toh ishara hai ki badshah aur wazra bahmi dast wa gir bayan ho jayenge.
35. aur baees ko dekha toh alaamat hai sakht darawani wali beemari hogi.
36. agar teees ko dekha toh daleel hai cheezein sasti hongi aur zar kheez hogi pachchis ko mahangai hogi agar yahi khwab untees ko dekha toh ye khair kashadgi aur khushi par dalaalat karta hai.
37. agar khwab main garj ki aawaaz suni aur din may ke pahle dinon main se hue toh ye yamamah ke maazeen ki maut par dalaalat karta hai tarkon main halaakat hongein ayese hi bakriyan mareingi baarish zyada hongi baaghon ka phal badhega.
38. agar darmiyane dus dinon main ye khwab dekha toh daleel hai sakht beemariyan hongein.
39. agar khwab main garj ki aawaaz suni aur din may ke pahle dus may ke pahle dus dinon main se koi din ho toh ye sar zameen misar ke ulma aur hukmaran tabqa ki maut par dalaalat karta hai bhao saste ho jayeinge nahrein chad jayeingi mal badhega samandari aur khushki shikaar zyada hoga.
40. agar khwab main garj ki aawaaz july ke pahle chha dinon main se kisi din main suni toh december main baarish hongein khaitiyan badhege rum ke logon ki badi taadaad mar jayegi yaman main bhaon kam ho jayege ajmiyon main jung hogi misra main badshah ki taraf se shar phelega un ke bachche qaid ho jayenge mashriq se ek badshah ayega aur un ko qaid kar liya jayega.
41. agar garj ki aawaaz july ke aakhir main suni ya jabki saat din baaqi hoin toh ye tamaam zameen par salamati ki nishani hai basrah main bhao sasta ho jayega farakht tak zameen zard kheez ho jayeingi khajoor aur badaam jese phalon ko koi aafat ayeingi gundam zyada hogi.
42. agar saal ke aakhir main ho toh logon par badshah ke qatal ka khauf rahega.
43. agar khwab main garj ki aawaaz suni aur woh maheena august ka ho ye mulke shaam jar jaan aur azaad bayajaan waalon ke liye achhi alaamat hai samandar band rahega fasaad ki wajah se raaste band ho jayeinge dandiyan kam ho jayengi khazar aur yajuju wa majuju ka badshah mar jayega un main fasaad ho jayega.
44. agar maheena ke aakhir main garj ki aawaaz sune toh misra ki sarzameen zard khaiz hogi dariya e neel ka paani zydada hoga qahat aur mahangai ke baad bhao kam ho jayeinge aur kabhi ye shor shon aur giro bandiyon par bhi dalaalat karta hai.
45. aur agar khwab main garj ki aawaaz suni aur woh september ke pahle aath din hon toh baarish aur phal bahut honge saal ke shuru main qahat aur aakhir main farawani hogi kufa aur basra ke maidaani ilaaqon main dandiyan zyada hongein wahan zar kheezi nahin hogi keede mar jayeinge logon main sakht bhook rahegi musalman qilaa fatah karenge romiyon aur turkon main ek taweel muddat tak jung rahegi mulke shaam zar kheez rahega aur us ke ghalla aur chaarah mahfooz rahega.
46. agar us ki aawaaz darawani hui toh phir phulon par khatrah hai.
47. agar dus tareekh ko ye khwab dekhe toh ye maghrib main us saal kam baarish padne ki daleel hai wallah aalam bil sawab.