khwab mein Fasal katna

Khaiti


1. khwab main kheti kaatna mushkil ki aasaani aur jald hasool daulat ki daleel hai. kabhi us se muraad halakat aur kabhi naseehat bhi hoti hai.

2. agar kisi shakhs ne dekha ki khwab main kheti kaat raha hai agar woh kisi ayese shahar main hai jahan ladaai ho rahi hai ya jallad aur lashkari thahre hue hain toh daraanti se kheti kaatne ki bamiqdaar logon ke sar kateinge.

3. agar woh kisi ayesi jagah hai jahan ladai ka naam o nishan bhi nahin aur woh kheti mukhtalif muhallon aur gharon main hai toh waba aur taaun ka khatrah hai.

4. agar kheti baazaron main hai toh nafaa kaseer muraad hai aur log cheezon ko bhaari munafaa le kar farokht karenge.

5. agar dekha ki kheti masjid main ya kisi aur achhi jagah hai aur ilaaqa hi ke log kheti kaat rahe hain na ki ajnabi toh woh nekiyan aur ajar hai. har aadmi kaatne ki bamiqdaar nahin haasil kar raha hai.

6. agar kheti kaatne wale kashatkaar hon.

7. agar kheti ko mukammal pakne ke baad kaatein toh kheti main museebat ya anaaj ka khatma muraad hai. kheti ajar o sawab hai jo kaatne wale ko haasil hota hai. be waqt kheti kaatna maut aur qataal ki daleel hai agar be waqt hari bhari kheti kaate toh ye jawaan ki marg hai.

8. agar kheti safed ho toh budhon ki maut hai.

9. jo kati kheti main chala woh mujahideen ki safon main chalega.

10. us ki dalaalat nikah par hoti hai.

11. khwab main kisi jaanne wale shakhs ki zameen main kaasht karna us ki beewee se nikah karne ki taraf ishara hai.

12. jis ne khwab main dekha ki us ne kheti boi toh ye us ki beewee ke hamilah hone ki alaamat hai.

13. agar kisi ne dekha woh kisi aur ki kheti main hal chala raha hai toh ye us ke aur us khet wale main ladai hogi.

14. kheti ka jalna bhook aur qahat ki alaamat hai.

15. agar kisi ne dekha ki woh sar sabz o shaadab kheti main koshish kar raha hai toh woh nek aur bhalaai ke kaamon main koshish karta hoga qataa nazar us ke woh kaam qabool bhi hote hon ya nahin.

16. agar kisi ne dekha ki us ne zameen main koi cheez boi toh ye shaadi shuda ke liye aulaad kunware ke liye nikah karne ki khabar hai aur anaaj wale ke liye aamdani hai. badshah ke liye mumlikat main koshish hai.

17. agar kisi yahudi ne dekha ki us ne kisi kheti main beej boi hain toh woh qatal aur sangsaar kiya jayega.

18. sabz khet lambi umar aur sookha khet maut ke qareeb hone ki alaamat hai.

19. gandam ka bolna neki ka lena dena ya dugne ajar ka sadqah karne ki alaamat hai.

20. gandam ki baali shiddat par dalaalat karti hai kabhi us se muraad sawab ka dugna hona bhi hota hai aur jo achhaai ki alaamat hai kabhi kasht par dalaalat karti hai.

21. agar kisi ne dekha ki woh ayesi zameen main khada hai jo ki kheti ke liye saheeh ki jaati hai toh woh ayesa amal karega jis se woh kal bhalaai ki tawqaa rakhta hoga.

22. aur agar kisi bne ghair mahal main kuch boya toh woh lawaatat ya zina karta hoga.

23. agar dekha ki be waqti kheti kaati jaa rahi hai toh ye muhallah main maut ya jang hone ki alaamat hai aur kheton main chalna mujahideen ki safon main chalne ki alaamat hai.

24. agar kisi ne apne liye koi maaruf kheti dekhi toh ye us ka amal hai khwah deeni ho ya duniyawi.

25. agar kisi ne dekha ki woh sabz khet main koshish kar raha hai toh woh neki aur bhalai ke kaamon main koshish karta hoga.

26. khet aurat par bhi dalaalat karta hai kyonki us main bhi boya jaata hai hal chalaya jaata hai woh haamilah hoti hai wazae hamal karti hai aur kheti ki tayyar hone tak doodh pilati hai jis tarah ki pode ek arsah baad zameen se mustaghna ho jaate hain toh us soorat main uski baali bachcha ya maal hoga.

27. kabhi khet baazar par aur us ki baali baazar ki cheezon munafaa aur fawaid par dalaalat karte hain kyonki kheti ke bhi bahut se fawaid, zarooyat, nafaa aur nuqsaanat hain ayese hi khet maidaane jang par bhi dalaalat karta hai us ke khoshe faujiyon par dalaalat karti hain.

28. aur unki kataai faujiyon ki talwarein hain kabhi ye khet duniya par bhi dalaalat karte hain jahan par aakhirat ki khetiyan boi jaati hai aur wahan ajar o sawab ke aamaal hote hain jese masjidein, astaba khane, zikra kar ke hulqe aur sadqaat ki jaghein.
Exit mobile version