1. jo shakhs khwab main dekhe ki woh farishtah se baatein karta hai ya us ko koi cheez deta hai toh inshahallah taala woh shakhs shahadat se sarfaraz hoga.
2. aur jo dekhe ki farishte ek jagah par hain agar us jagah ke rahne wale kisi ladaai main mubtala hain toh ghalib honge.
3. agar kisi museebat main mubtala hain toh woh museebat door hogi, farishton ka nazool o baa ya taaun ya amraa aalmeen ya qaaideen ki daleel ho sakta hai.
4. aur jo shakhs dekhe ki woh farishton ke saath udhata hai toh use shahadat haasil hogi, aur woh allah taala ki raza mandi aur ikraam se nawaza jayega.
5. jo khwab main farishton ko ek jagah par dekhe aur un se dar bhi raha ho toh us jagah par ladaai fitna aur adaawat dushmani waaqe hogi.
6. agar dekhe ki farishte us ko sajda karte hain ya us ke saamne ruku ki haalat main hain toh us ki haajat puri hogi aur woh islah (bhalai) aur nek naami se nawajah jaega.
7. agar farishton ko aurton ki soorat o shakal main dekhe woh allah taala par jhoot badhta hai.
8. agar dekhe ki farishte us ko ladke ki khushkhabri dete hain toh us ke haan nek salih mufte aalim beta tolud hoga log us ki perwi karenge.
9. agar kisi ilaaqe main rarishton ki ek jamaat dekhe toh us jagah koi aalim ya zaahid o aabid wafaat paega aur mazlum shakhs hoga.
10. jo dekhe ki us ki soorat badal kar farishtah ki tarah ho gai hai toh use sharaf o izzat haasil hogi.
11. jo dekhe ki woh farishtah se kushti karta hai toh ye zawal muqaam w martaba ki daleel hai, aur gham se bhi dau chaar hoga.
12. agar dekhe ki farishte us ke ghar main daakhil hue hain toh us ke ghar main chor aayenge.
13. agar dekhe ki farishtah ne us se us ka aslah liya hai toh ye us shakhs ki quwat o maal aur munafaat ke khatam hone ki daleel hai, mumkin hai ki woh apni beewee se alhayeda ho jayega.
14. agar farishtah ko bachcha ki shakhal main dekhe toh ye zamana mustaqbil ki daleel hai.
15. aur agar us ko jawan dekha hai toh zamana haazir ki daleel hai.
16. aur agar us ko budha dekha hai toh ye zamana maazi ki daleel hai.
17. jo dekhe ki woh khud farishta ban gaya hai toh woh kahin ya nazumi ya taanazan aur aib geer hai.
18. agar woh mareez ho toh ye us ka deen o haalaat durust honge aur maal main kasrat ayegi.
19. jab farishton ka nazul qabaristan main dekhe toh wahan nek log dafan honge.
20. agar farishton ko baazaar main dekhe toh ye auzaan main kami karne ki daleel hai.
21. jo dekhe ki woh farishtah se kashti kushti karta hai toh izzat ke baad zillat aur pareshani milne ki daleel hai.
22. jo dekhe ki us ki soorat farishtah jesi ho gai hai toh agar shiddat main mubtala hai toh farakhi hogi agar ghulami main mubtala hai toh aazaadi milegi, agar shareef wa aala darja ka hai toh us main zyadati aur sardari haasil hogi, jo farishton ko dekhe ki use ilsam kahte hain toh allah taala use us ki zindagi main baseerat ataa farmayenge, aur us ka khatma bilkher hoga.
23. agar kafir khwab dekhe ki farishte us ke liye duayein rahmat o maghfirat karte hain toh woh musalman hoga, farishton ko dekhna beton aur ashaab ahad ki daleel hai azaab ke farishte agar kisi mayyat ke paas aaye hain aur woh un se nahin dara hai toh ye aman ki daleel hai khususan ki woh musafir hon rahzanon se mamun o mahfooz rahega. farishton ka dekhna badshah ke qaasid ya us ke naaib ya haakim ki daleel hai, agar us ke jimme qarz se nijaat milegi, agar mareez ho toh shifaa hogi, farishton ka dekhna tarjumanon ki daleel hain jo logon ki zabaanein jante hain kyonki woh har ek se un ki zubaan main sawal karte hain.