1. suraj girhan hona bade badshah ko hadshah paish hone ki daleel hai.
2. aur chand girhan hona wazeer ko hadsa paish hone ki alaamat hai baqaul baaz khusuf qamar beewi ya walad ki maut ki alaamat hai.
3. badal ko suraj ko dhanpte dekhna badshah ke aleel hone ki khabar hai aur agar suraj us badal main harkat toh karta hai magar bahar nahin nikalat toh maut badshah ki daleel hai kabhi suraj ki dalaalat kisi bade aalim par bhi hoti hai.
4. aur baaz ulma taabeer ne kaha hai ki agar suraj ko dekha ki badal us koi dhanp raha hai toh taabeer hai ki riayaa par zulm ke padaash main badshah apni hukumat se maazul hoga.