khwab mein Bijli (aasmani Bijli) Barq (aasmani bijli) dekhna


1. sirf bijli dekhna gumrahi ke baad hidayat par dalaalat karta hain, aur kabhi yahi khwab nazar ke patthara jaane aur thak jaane par dalaalat karta hai. yahi khwab agar mareez dekhe toh ye us ke marne ki taraf ishaara hai.

2. kabhi khwab main bijli dekhna raazon ke faash hone ki alaamat hota hai aur baaz dafa yahi khwab kisi gumshuda ki aamad ki basharat hai ya tajdeede rizaq aur kisi majboor ki madad ki alaamat hai.

3. kabhi ruiyyat barqe ahwaal ki tabdeeli ki daleel hoti hai yaani museebat se chhutkare, aur chhutkare se shiddat ki taraf aane ki alaamat hai.

4. basa waqt ruiyyat barq talwar aur neezon ki chamak aur ladhai ki taraf ishaara karti hai.

5. October ke maheene main bijli dekhne ki taabeer man gadhat baaton aur fasoolon ke pakne se ki jaati hai.

6. aur agar yahi khwab November ke maheene main dekha jaaye toh ye khushali, baraane rahmat aur khere kaseer par dalaalat karega.

7. agar December main ye khwab dekhe toh ghalba main kami aur January main dekhna fasoolon ke pakne ke waqt kharab hone par dalaalat karta hai.

8. faroori ke maheene main bijli dekhne ki taabeer fasloon ki durustgi se ki jaati hai.

9. maarch main usi khwab ko dekhna ghallon ki kasrat ki daleel hai, aur april main dekhna sahibe khwab ke nek aur nek bakht hone ki taraf ishara hai aur usi saal gandam ke kaseer hone ki alaamat hai. aur jo ke qaleel hone ki daleel hai.

10. aur may ke maheene main khwab main bijli dekhna us saal maevon main kami waqe hone ki taraf ishaara hai.

11. june main yahi khwab faaidamand baarish ki alaamat hai. aur july main us khwab ko dekhna na kher hai na shar. aur gast ke maheene main khwab main bijli dekhna khushali aur kher ki alaamat hai. aur september main dekhne ki bhi yahi taabeer hai.

12. kabhi khwab ke andar bijli dekhna badshah ki taraf se khuaf ki alaaamat hai. kabhi yahi khwab badshah ki taraf muwaaz hasna, hunsne, khushi, kamiyabi, riaaya ki taraf se tamaa wagera par dalaalat karta hai.

13. kisi ne khwab dekha ki goya woh bijli dekh raha hai aur us ke alawa woh dusre log nahin dekh rahe aur bijli ki roshni ne us ki aankhon ko kher kiya hua hai toh us ki taabeer ye hai ki sahibe khwab agar musaafir ho toh baarish ki wajah se ghalzat hogi aur agar khwab dekhne wala kisan hai aur us ka khet kam aabi ki wajah se khuhsk hai toh baaraane rahmat ki aamad ki daleel hai aur agar sahibe khwab ka walid ya hukumran us par musallat hai aur us ki taraf tawajjoh nahin karta hai toh ye hazraat un ki taraf motuwajjah honge aur khushi se mulaqaat karenge.

14. agar khwab main bijli ke saath baarish bhi dekhle toh ye kisi naa pasandeedah cheez ke zaahir hone ki alaaamat hai.

15. kisi ko khwab main bijli se kuch mile toh taabeer ye hai ki koi insaan nek maamle mile main us ki taabedaari karega.

16. kisi ne baarish ke bager bijli dekhi toh taabeer ye hai ki us se waada shuda maamle mile main waada khilafi hogi.

17. agar khwab main bijli agar kar us ke kapdon ko jala de toh ye us ki wajahe par mareez ke marne ki taraf ishaara hai.
Exit mobile version