khwab mein Bakhoor kardan (kuch sulagna)

Bakhoor Kardan


bakhoor kardan, dhuni duniya hazrat ibn seereen rahmtullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main bakhoor karna kisi buzurg aadmi se maal lena hai, aur agar dekhe ki khushboodar cheezon ko sulga raha hai toh daleel hai ki usi qadar woh shakhs kisi mard se maal haasil karega.

hazrat jaafar maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki jo bakhoor zyadatar khushboodar hai dekhne wale ke liye bahut zyada kheron munfaat hai aur agar bakhoor khushbudaar hai toh sahibe khwab ke liye ki taaweel khilaf hai.

hazrat jaafar saaidq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main bakhoor karne ki taaweel teen wajah par hai. (1) awwal bahut saa maal, (2) duwwam ayeesh khush, (3) suwwam nek naam.
Exit mobile version