khwab me Ghanti dekhna


1. jars ki dalaalat badshahat ki taraf se aalaan karne wale aur azaan dene wala shakhs par hoti hai.

2. jars ko jaanwaron ke galon main dekhna khair ki daleel hai.

3. aur kabhi uski dalaalat safar par bhi hoti hai.

4. eeisaiyon ki ghanti ki taabeer ayesa aalim hai jis se aham amwar aur mukhasimat main rahnumai haasil ki jaati hai.

5. kabhi uski dalaalat ladai aur namaz waghaira par bhi hoti hai kabh jars ki taabeer dushman se mulaqat ki tayyari se ki jaati hai.

6. khwab main ghanti ki aawaaz sunna khair ke saath qafilon ki aamad ya ek chhat se dusri chhat ki taraf inteqal ki taraf ishara hota hai.

7. kabhi ghantiyon ki dalaalat sabiqa kutub mansookh taurat, injeel, zaboor waghaira aur kabhi amam sabiqa ke taur tareeqon par hoti hai.
Exit mobile version