Khwab main ghar dekhne ki taabeer

Ghar
Khwab main ghar dekhne ki taabeer duniya se ki jaati hai.

1. kisi ne khwab main ek naya ghar dekha jismain uski tamaam cheezain mukammal ho gai hon toh sahibe khwab ki haalat ke aatbaar se uski taabeer hogi chunancha agar sahibe khwab faqeer ho toh uske ghani hone par dalaalat karta hai agar ghamzada ho toh gham se nijaat milne ki alaamat hai agar kareegar hai toh ghar ki basoorati ke mutaabiq maal haasil karega agar kisi maasiyat main mubtala hai toh us se taaib hoga. us liye ki wasaat ki taabeer duniya wa ilm, sakhawat aur maali wasaat se ki jaati hai.

2. ghar ka tang hona sahibe khwab ke anjal ki taraf ishara hai.

3. ghar ki jiddat sahibe khwab ke amal ki jiddat par dalaalat karti hai.

4. uski leepai uske deen ki daleel hai.

5. makaan ki mazbooti uski tadbeer ki alaamat hai.

6. makaan ki dalaalat khushi par aur uske kamre aurton par dalaalat karte hain.

7. lohe ka ghar dekhna taul umar aur taweel hukumat se maabir hai.

8. khwab main kisi majhool ghar main daakhil ho kar amwaat dekhna daar aakhirat ki alaamat hai. ghar main daakhil ho kar bahar nikalne ki qudrat na rakhna marne ki daleel hai.

9. ghar ka mitti se lepa hua hona uske hasan anjaam aur chune aur seement ka hona sau anjaam ki taraf mayyashshar hai.

10. ghar main daakhil ho kar bahar nikalna beemari ki wajah se qareeb ul maut ho kar sahatyab hone aur us se nijaat paane ki khabar deta hai.

11. kisi ghar ko dusre gharon se juda dekhna aur us main murde dekhna us ghar ke tamaam afraad ke marne par dalaalat karta hai.

12. kisi ghar se ghusse ki haalat main bahar nikalna mufeed hone ki taraf ishara hota hai.

13. khwab main kisi shakhs ko apne ghar main daakhil hote hue dekhna daleel hai ki daakhil hone wala us ke raaz se bakhabar hoga aur agar daakhil hone wala faasiq qasam ka aadmi hai toh woh sahibe khwab ki beewee ya uski maashiyat ke sisile main us se khayanat karega.

14. imaam aadil ke liye ghar dekhna musalmanon ki sar hidayat main se kisi sar had par dalaalat karta hai chunancha kisi imaam aadil ke ghar ka munhadam hona baaz sarhadon main kami waqe hone ki taraf ishara hota hai.

15. ghair shaadi shuda ke liye ghar banana buland martaba wali aurat se nikah karne ki alaamat hai.]

16. door se kisi ghar ka nazara karna usb ki duniya ki taraf ishara hai jo us ko taakhir se haasil hogi.

17. khwab main dusre gharon ke saath mutasil mitti se bane hue ghar main daakhil hona halaal tareeqe se duniya milne ki alaamat hai.

18. chuna siment se bane hue ghar main dadakhil hona haraam tareeqe se milne wali duniya par daleel hai.

19. khwab main ghar se maqhoor ho kar ya safar ke iraade se wapis na aane ke iraade se nikalna apne mamluk ya apni duniya ke haath se nikalne ki daleel hai.

20. kisi naye aabaad ghar main kisi ghani ka daakhil hona maal ki zyadati ki daleel hai.

21. faqeer ka naye ghar main daakhil hona ghani hone ki alaamat hai.

22. khwab main apne kisi purane ghar main daakhil hona aur us ka gir jaana kisi ristedaar ki meeras milne ki daleel hai. kisi ne khwab dekha ki woh kisi ghar ki sheeshe ki chhat ke upar hai aru nanga hone ki haalat main us se gir gaya hai toh woh shahi khandan ki ek khubsoorat haseen o jameel aurat se nikah karega magar woh jaldi hi marjayegi. baaz ulma taabeer ka kahna hai ki baaz dafaa ghar banana baaz aulaad ya kisi rishtedaar ke marne ki alaamat hai.

23. khwab main ghar ka malik hona sahibe khwab ke nek amal ki daleel hai.

24. ghar ka banuma aur tang hona sahibe khwab ki bad aamaali ki taraf nishaan dahi karta hai.

25. agar sahibe khwab kisi auhde se maazul ho toh us ki izzat rafta laut aayegi ya gumkarda shai daubara haasil ki jayegi ya jis ne us se qataa taluk kiya hai daubara us se taaluk astwaar ho jayega kabhi ghar ki dalaalat aapas main khatir mudarat karne par hoti hai. kabhi ghar ki taabeer zamana ke mutaabiq chalne se bhi ki jaati hai.

26. ghair munasab muqaam main ya ghair munasab tareeqe se ghar banana haraam maal se bane hue makaan main aqaamat akhtiyar karne ki ishara hai aur ghar ki dalaalat insaan ke jism us ke nafs aur us ki zaat par bhi hoti hai isliye insaan ghar ki pahchaan aur ghar insaan ki pahchan hai kabhi ghar ki dalaalat insaan ke us maal par hoti hai jis par insaan ke zindagi guzarne ka madaar hai kabhi us ki taabeer libas se bhi ki jaati hai. is liye ki ghar bhi insaan ka libas hai chunancha ghar ki taabeer isnaan ka jism ho toh us ke darwaze ki dalaalat chahre par hogi aur us ki dalaalat zawja par ho tohus ke darwaze ki dalaalat us ke sharamgah par hogi agar ghar ki taabeer kapda ho toh darwaze ki taabeer us ka tauq hoga.

27. kisi ne khwab dekha ki apne ghar ka jhadu de raha hai toh us ko sadmah pahunchega ya achanak maal milega aur baaz ulma ki raaye hai ki ghar ka jhadu dena gham khatam hone ki alaamat hai.

28. aur baaz ka kahna hai ghar ka gir jaana sahibe ghar ke marne ki daleel hai.

29. khwab main naye ghar ko girana sadmah shar main mubtala hone ki taraf mayashshar hai.

30. kisi ke ghar ka ya ghar ke kamron ka ya us ke sahan aur chhat ka aam haalat se wasee hona us ki duniya ki wasaat aur wasee zindagi ki daleel hai.

31. ghar ke andar ya us ke darwaze main koi haadsha pesh aana us ki aurton main koi naye cheez paeda hone ki alaamat hai.

32. ghar ka aam gharon se mukhtalif hona aur us main jiddat zaahir hone ki dalaalat us ke mamluk maal par hoti hai.

33. kisi mareez ka apne ghar se kisi se baat kiye baghair khamoshi se nikalne ki taabeer us ki maut se ki jaati hai.
Exit mobile version