khawab me Aurtain dekhna


Hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main jawan aurat khushi hai aur budhi aurat duniya hai aur us jahan ka shaghal hai aur aurton ko khwab main dekhna baqadar khubi aur jamal ke farhbi aur laaghri hai aur bahtareen aurat khwab main ayesi aurat hoti hai jo ki maaruf maalum ho aur maalum aurat rozi ki farakhi hai aur badsoorat aur laaghar aurat qahat tangi hai, aur aurtein khush aur aaraasta us jaha deenwee ki muraad hai aur budhi aurat gandagi namuraadi aur badhaali par daleel hai.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar aurat dekhe ki us ka azu tanasul hai jesa ki mardon ka hota hai daleel hai ki us ko farzand hoga aur farzand qaum aur khandan par buzurg aur sardar hoga. aur agar jawan aurat dekhe ki wh budhi ho gai hai toh kher aur deen o duniya ki islah par daleel hai aur agar aurat dekhe ki us ka azu tanasul hai aur jama karti hai daleel hai ki us ki izzat aur buzurgi kam hogi. aur agar aurat dekhe ki us ne mardana libas pahna hua hai aur woh aurat parsa hai toh kher o islah par daleel hai aur agar woh fasadi hai toh shar aur fasadi par daleel hai.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main aurton ki dosti ahal duniya ke liye maal ki zyadati hai aur ahal islah ke liye ilm hai aur gareeb aurat ki taaweel aashna se bahtar hai. aur agar dekhe ki us ki aurat par koi shakhs dost darazi karta hai daleel hai ki us aurat ke ahal maaladar honge, aur agar dekhe ki us ki aurat fasadi ke liye begane ke paas gai hai daleel hai ki woh ladka janegi, aur kher aur munafaat paegi.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main aurton ka dekhna cha wajah par hai 1. shaadi 2. duniya 3. us jahan ka shaghal 4. nemat ki farakhi 5. qahat 6. tawangri.
Exit mobile version