khawab me Arfah dekhna


1. khud ko arfah ke din main dekhna agar us ka koi mutaalik gayeb hai toh ye khushi khushi wapis aagyegi. agar rishtadaron ne qata rahmi ki hoti hai toh woh suleh rahmi karege aur agar kisi se jhagdha hua woh suleh karega. arfah ki dalaalat haj par hoti hai. neez kabhi us se muraad jamaa bazaar aur nafaamand tijaarat bhi hoti hai. arfah main khada hona achhaai se burai ya burai se achha ki jaanib martab ki tabdeeli hai. kabhi us se muraad apne azeezon, beeweeyon, ghar waghera se juda hona bhi hota hai. akbhi apne khilaaf dushman ki nusrat bhi us se muraad hoti hai. waquwaf arfah zillat, farasat ke hasool, juda hone walon ki qurbat, dushman par madad, gunahgar ki tauba ki qabooliyat par bhi daleel hota hai. kabhi us se muraad raaz ka zahoor hota hai. kabhi waquwat arfah juda dost ke milne aur pahlu tahi karne wale ki ulfat ki daleel hota hai.

2. jis ne raat lp fajar se pahle waquf arfah kiya use us ka maqsad aur haajat haasil hogi.

3. agar kisi ne fajar ke baad waquf kiya toh use us ka matlab haasil na hoga.
Exit mobile version