khawab me Arawah (aala qila geeri) dekhna



hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki arawah kafiron ke shahar main daala hai daleel hai ki kafiron ka sakht dushman hoga aur agar dekhe ki arawah musalmanon ke shahar main dala hai daleel hai ki islaam ke baare main nagawar baatein karega aur mumkin hai ki ahal islam ke liye baddua kare aur agar dekhe ki us ne arawah dala hai daleel hai us jagah walon ki gheebat karega ya un ko gali dega.
Exit mobile version