Anqaa el qism ka baaja chang aur barbat jesa hai hazrat ibn seereen rahmatullah alayeh ne farmaya hai agar khwab main dekhe ki anqaa ko bajata hai daleel hai ki jhoot aur behuda baat se khush hoga. agar beemaar dekhe ki anqaa toota hai ya us ne gira diya hai daleel hai ki jhoot aur muhaal se tauba karega aur agar beemar dekhe ki anqaa ko bajata hai daleel hai ki woh beemar jald marega. aur shahbaas 4 maal aur munafaat.
anqaa
khwab main anqaa buland martaba biddati aadmi hai jo millate islamiya ke saath mukammal nahin chalta.
1. agar dekhe ki anqa us se baat cheet kar raha hai toh use khaleefa ki taraf se maal haasil hoga baaz hazraat farmate hain ki use wazaarat milegi.
2. agar dekhe ki anqaa ne us ki taraf koi cheez phenki hai toh allah taala badshah ke haathon use rizaq ataa farmayenge.
3. agar khud ko anqaa par sawar dekhe toh buland martaba aur mumlikat par be mishaal ghalba ki daleel hai.
4. agar khwab main anqaa shikaar kare toh kisi azeem ul martaba ke saath dhoka ki baazi karega.
5. agar anqaa baich de toh azeem ul martaba aadmi par zulm karega.
6. agar baghair kisi heela ke anqaa shikaar kare toh bahadur bete ki daleel hai.
7. anqaa par giraft khubsoorat haseen aurat se shaadi hai.
8. anqaa ki dalaalat kabhi ajeeb o ghareeb baaton aur lambe ashaar par bhi hoti hai. kabhi ghalat saheeh aur behuda kalaam bhi us se muraad hota hai.