khawab me Ammari (hodaj) dekhna

Ammari


hazrat ibn seereen rahmatullah ayayeh ne farmaya hai ki agar khwab main dekhe ki ammari main betha hai aur ammari khachchar ya ghodhi par hai aur chal raha hai daleel hai ki izzat aur buzurgi paega aur agar dekhe ki ammari giri hai ya us se bahar hua hai toh ki taaweel awwal khilaf hai.

hazrat jaabir maghribi rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki agar dekhe ki us ko kisi ne ammari main bethaya hai daleel hai ki kisi sardar se milega aur us ka kaam bala hoga aur izzat aur martaba zyada hoga.

hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main ammari ka dehna saat wajah par hai 1. buzurgi 2. izzat 3. martaba 4. riyasat 5. bulandi 6. wilayat 7. sardar se mulaqat.
Exit mobile version