khawab me aankh (chashma) dekhna

Aankh (chasham)
Hazarat ibne seerin rehmtullah alaih ne farmaya hai ke khwab me aankh ka dekhna ek bina mard ko dekhna hai ke jisse raah haraayat paayega – gurabah chasham bad-at hai aur gulaabi aankh farzand hai aur agar dekhe ke jo dina bena ho gaya hai to daleel hai ke raah haraayat se gum hoga ya uska farzand marega.

Aur agar dekhe ke uski ek aankh andhi ho gayi hai to us se daleel hai ke uska nisf deen jaaya ho gaya jkhai ya usne bahut bada gunaah kiya hai ya uske ek haath ya paav ya jism ke ek hisse par musibat aayegi ya iske kaam ka nisf kharab hoga.

Hazrat ibrahim karmani rehmatullah alaih ne farmaya hai ke agar koi dekhe ke aankh me surama lagaya hai to daleel hai ke deen ki islaaha talaash karta hai aur agar dekhe ke surame se uska maqsad zeenat aur araayish hai to daleel hai ke apne aapko logo ke saamane baa-amanat aur deen-daar zaahir karta hai taaki unme izzat paaye – aur agar dekhe ke usko kisi ne surama diya hai taaki aankh me daale to daleel hai ke usi qadar maal payega – aur agar dekhe ke uski aankh ki binaayi kamjor ho gayi hai to daleel hai ke wah zaahir aur baatin me do raviya munafik hai aur agar dekhe ke uske jism par bahut saari aankhe hai aur sab cheezo ko kaamil tor par dekhta hai to ye salaah deen ki daleel hai aur shariyat ke fara-iz achhi tarah se bujalaata hai.

Aur agar dekhe ke kisi ne uski aankh nikaan di hai to daleel hai ke jis cheez se uski aankh roshan thi – jese aurat’ farzand’ makan’ baag’ wah uski nazar se gaayab ho jayega’ esa ke fir na dikhega.

Hazarat jabeer magribi rehmatullah alaih ne farmaya hai ke agar lohe ki aankh dekhe to uski daleel hai ke uska pardah fatega – aur agar dekhe ke uski dono aankho par waram hai ke aankh khul nahi sakti hai to daleel hai ke mukhalif aadami ki sauhabat me bethega – aur agar aankh ke noor me ja-af dekhe to daleel hai ke usko taa-at karne me nuksaan pahuchega aur agar apni dono aankhe nikali huwi dekhe to daleel hai ke deen shariyat se be-bahara hoga aur agar dekhe ke uske chehare ke darmiyaan ek aankh hai to daleel hai ke deen ke baare me apni jubaan se nalaayak baate karega aur agar dekhe ke uski aankhe roshan hai aur log ma-alum karte hai ke andhi hai ya andhera ta hai to daleel hai ke uske deen ka baatin zaahir se behatar hai aur agar koi dekhe ke uski siyaah chasham kesasi ho gayi hai to ye badi aur haal ke badalne ki daleel hai.

Aur agar dekhe ke uski aankhe safaid ho kar fir se siyaah ho gayi hai to daleel hai ke bimaar hoga ya kisi se jhagada karega aur agar dekhe ke aankh siyaah ho gayi hai aur safaidi nahi rahi hai to daleel hai ke mutkabeer hoga aur agar dekhe ke uski ek aankh par aafat pahuchi hai to daleel hai ke uske beto ko koi aafat pahuchegi aur agar dekhe ke aur agar dekhe ke kisi ne hath bada kar uski ek aankh nikaal di hai to daleel hai ke koi uske farzand ko raah se le jaayega aur agar dekhe ke kisi ne uski aankh bandhi ya hath me li hai – to daleel hai ke uske farzand ya maal ko nuksaan hoga – ya gunaah karega aur agar dekhe ke uski aankh se khun zaari hai to daleel hai ke usko farzand ki taraf se dukh hoga ya maal ka nuksaan hoga.

Hazarat islaail ash-as rehmatullah alaih ne farmaya hai ke agar koi dekhe ke uski aankh kaan ho gayi hai aur kaan aankh ho gayi hai to daleel hai ke ladaki wali aurat karega aur dono se jimaa karega – aur agar dekhe ke uski aankh qaf dast par hai to daleel hai ke maal payega – aur agar dekhe ke uski aankh me safaidi hai to daleel hai ke usko gam pahuchega.
Exit mobile version