Khawab Me Aalim Dekhna

Agar jaahil shakhs dekhe ki aalim ya faqeeya hua hai daleel hai ki log us par taana karenge aur us ka mazaaq udhaenge aur agar aalim ya faqeeya dekhe daleel hai ki us ka ilm aur ziyada hoga. agar dekhe ki qaazi ya hakeem ya khateeb ya aalim zinda ya murda kisi khaufnak aur tarsanak jagah se guzar gaya hai daleel hai ki wahan log aman main honge aur un ka badshah aadil hoga.

hazrat ibraheem kirmani rahmatullah alayehi ne farmaya hai agar dekhe ki logon ko ilm sikhata hai haalaanki ahale ilm se nahin hai daleel hai ki us se bhagega aur agar aalim hai toh izzat aur martabe par daleel hai agar dekhe ki kuch le kar ilm padha jaata hai daleel hai ki rishwat lega. hazrat jaafar saadiq rahmatullah alayeh ne farmaya hai ki khwab main aalim chaar wajah par hai 1. daulat 2. qaazi 3. hakeem 4. khateeb.

aalim

1. muttaqkarmeen ya mutakhareen main se kisi bhi aalim ko khwab main dekhna buland martaba, zikra kher, aalim par amal aur tarrqe ilm ki basharat hai. kyonki ulmaa hazraat allah ke raaste ki taraf awaam ko lagane wale hain. hakma ko khwab main dekhna farhat wa sarwar ki nishaani hai.

2. salha ko khwab main dekhna deen main salah ki alaamt hai.

3. agar koi shaksh khud ko faqeeya bane dekhe ki log us ki baat maan rahe hain aur us se masail daryaft kar rahe hain aur woh us ka ahal na ho toh use kisi aazmaish ke liye tayyar ho jaana chahiye. lekin us museebat ke bare main log us ki baat ka aatbaar karenge.

4. lekin aalim ko qahat ya museebat wali jagah par dekhna wahan se museebat aur qahat ke khatme ki taraf ishaara hai.

5. agar kisi ghair maaruf faqeeya ya aalim ko dekhe toh koi falsafi tabeeb us jagah warid hoga.
Exit mobile version