agar khwab me dekhe ke aag ne usko jalaya nahi hai to daleel hai karahat ke sath safar karega aur agar aag ko bhadakta huwa dekhe to daleel hai ke tap se bimaar hoga aur agar dekhe ke aag ne uska jism jalaa diya hai to daleel hai ke jalan ke mutabik usko ranj wa nuksaan pahuchega aur agar koi dekhe ke uske ghar me aag lagi padi hai aur uske saare jism ko jalaa diya hai aur bhadakti hai aur uske dill me us se khauf aur dehshat nahi aayi hai to daleel hai ke usko mehnat aur musibat ke sabab bimaari aur ja-afa aayega – jese sardi taa-un ‘ aabla aur surkh wagerah aur agar dekhe ke aag ko pakad liya hai to daleel hai ke usi qadar badshaah se maal-e-haraam milega – agar dekhe ke aag se garmi aur tapish pahuchi hai to daleel hai ke koi shakhas uski geebat karta hai.
Hazarat karmani rehmatullah alaih ne farmaya hai ke agar koi shakhas khwab me dekhe ke aag ke sholay logo par daalata hai to daleel hai ke logo me adawat aur dushmani dalega aur agar saudagar khwab me dekhe ke uski dukan aur saman ko aag lagi hai to amar ki daleel hai ke usko samaan barbaad hoga ya ek dirham ki cheez teen dirham ko farukhat karega aur kisi par shafqat na karega.
Agar dekhe ke kisi ke ghar me aag lagi hai to us amar ki daleel hai ke wah aadami jang aur fitana aur badshaah ke julm me giraftar hoga aur agar dekhe ke aag ne uska kapada jalaa diya hai to daleel hai ke apno ke sath ladega aur maal ke sabab se gumnaak hoga – agart koi badi aag zameen par dekhe to daleel hai ke us mauzu par jang aur fitana hoga aur agar koi jali huwi cheez dekhe to daleel hai ke aurato ki wajah se kisi ke sath ladega – agar dekhe ke kisi shahariya mahal ya saraaye me aag lagi hai aur sab kuchh jalaa diya hai aur aag sholaa marti hai aur aawaz khaufnaak deti hai to daleel hai ke us jagah me karjaar ya sakhat bimaari padegi.
Agar dekhe ke aag ne kuchh cheeze jalaa di hai aur kuchh chhod di hai aur khaufnaak aawaz nahi deti hai to us amar ki daleel hai ke us mauju me ladaai hogi’ aur agr sholay roshan nahi hai to to sakhat bimaari padegi aur agar aag ko dhuwe ke saath dekhe to daleel hai ke apne kaamo me darr aur dahshat dekhega aur agar dekhe ke aag aasman se ghiri hai aur usne shahar ya muhalle ya saraaye ko jalaa diya hai to daleel hai ke us shahar ya jagah par bala aur fitana padega aur agar dekhe ke khaufnaak aawaz thi aur aag sholay marti thi’ lekin jis jagah padi hai sholay nahi maare hai to us amar ki daleel hai us jagah jubaani jhagada aur fasaad hoga – agar dekhe ke zameen ke niche se khaufnaak aag nikali hai aur aasman ki taraf gayi hai to daleel hai ke us jagah log khuda ta-ala ke pyaaro ke sath us aag ki taaqat ke mutabik jhut aur behtaan ke sath ladaai ladenge aur agar dekhe ke aag be-tahaasha jagah ba jagah jaati hai aur wah aag kuchh taqleef nahi deti hai to daleel hai ke sahab-e-khwab qaayedah hasil karega aur agar darwesh hai to maal-daar hoga.
Hazarat ash-as rehmatullah alaih ne farmaya hai ke agar koi shakhas khwab me dekhe ke aag aasman se barish ki tarah barasti hai to daleel hai ke us jagah par badshaaho ki taraf se khun-reji aur bala aayegi aur agar dekhe ke aasman se aag aayi aur usne khaane ki cheezo ko jalaa diya to daleel hai ke uski ibaadat haq ta-ala ke najadik qubool howi hai.
Agar dekhe ke aag zameen par utaari aur zameen ki sabaji ko jalaati hai to daleel hai ke us mulk me khuda nakhwasta na gahaani maut bahut aayegi – ba-aj tabeer bayaan karne wale kahate hai ki agar koi dekhe ke aag zameen se nikal kar roshan huyi hai to daleel hai to us jagah khajana hoga.
Hazarat jaafar saadik rehmatullah alaih ne farmaya hai ke agar khwab me dekhe ke aag ke tukade khata hai to ese amar ki daleel hai ke yateemo ka maal khata hai.
Agar dekhe ke uske muh se aag nikalti hai to us amar ki daleel hai ke jhuti baat aur bahtaan lagata hai aur agar dekhe ke har jagah aag jalti hai daleel hai ke badshaah ke logo me elichi ka kaam karega aur dekhe ke uske paav me aag roshan hai aur koi nuksaan nahi karti hai to daleel hai ke usko neki pahuchegi.
Agar dekhe ke badi aag lakadiyo ko jalati hai to fitana aur jang par daleel hai.
Agar khwab me dekhe ke aag logo ko jalati hai to daleel hai ke usko dushmano par fatah hogi aur agar dekhe ke aag ne usko jalaa diya aur usme roshani na thi to daleel hai ke marz sar saam se bimaar hoga aur agar usme noor dekhe to daleel hai ke uske khawesho aur farjando me se kisi ke yaha bachcha aayega ke log uski taarif karenge aur us noor-e-aatish ke barabar bujurgi aur maal payega aur agar razamgaah me aag dekhe to ye sakhat bimaariyo ki daleel hai – jese aabla’ sartaan’ sar saam murg na guhaani wagerah.
Agar aag ko dhuwe ke sath dekhe to us amar ki daleel hai ke us ko badshaah se darr aur khauf hoga’ aur agar aag ko bazaar me dekhe to ye bazaaar walo ki be-deeni ki daleel hai ke bazaar wale tijaarat me insaaf nahi karte hai aur kharidi huwi cheezo me jhut bolte hai aur agar kisi mulk me aag lagi huyi dekhe to daleel hai ke waha ke log badshaah ke sath ladate hai aur us se ri-aaya par julm hota hai.
Agar namalum mahine me aag dekhe to be-deeni ki daleel hai aur agar kisi ke kapado ko aag lagi dekhe to daleel hai ke us par musibat aur dehashat aur khauf padega’ aur agar apne aap ko aag par khada dekhe to us amar ki daleel hai ke us ko ranj pahuchega.
Asali dalaalat basharat andaajah ladai ajaab kot husn khisaarah gunaah aur barkat par hoti hai –
1. khwab dekhe ke aawaz wali bhadakti huyi aag darakhato ko jalaa rahi hai to tabeer hai ke jalaa ne ke baqadr jald esa fitana aayega jis se logon ka ek jaha halaak hoga.
2. Khwab dekha ke uske dill me aag lagi hai to tabeer hai uske mehboob ki khudai ki wajah se uske ashk ki aag uske dill me lagegi.
3. Khwab me 2 aag dekhi jo ek dusare ki taraf chal rahi hai to yah 2 lashkar hai jo ek dusare ke muqaabale me maidan-e-jang me kud pagenge – chunanche jis aag me lakadiya jyada mazbut taaqatwar ho wah afraadi kot se less lashkar ki alaamat hai – aur wah aag jiske saath hawa bhi ho to wah gaalib aa jayegi – aur usme jo bhi roshani ke lihaaz se kam ho aur siyaah hoto wah kasame afraad par mushtamil lashkar par dalaalat karte hai.
4. Agar rang ke a-atbaar se dono matsaavi ho aur kisi cheez ko jalaaye bhi na hoto ye 2 fitano par dalaalat karti hai jo kisi muhale me wakiya honge.
5. Jis aag ke kareeb pani hoto uski shidat yakeeni hogi.
6. Aur pani daal kar aag ko bujhaana allah ta-ala ki madad ke zariye dushman par gaalib aane ki daleel hai .
7. Isi tarah aag par barish barasana dushman ke lashkar par gaalib aane ki bashaarat hai – kabhi iski tabeer mazkurah tabeer ke ulat bhi hoti hai yaani aag par paani daal kar bujhaane wale ki fauz halak ho jayegi.
8. Bahut jyada dhuwe wali aag sakhat ho lena ki aur azaab ki alaamat hai.
9. Khwab dekha ke sakhat andhari raat me logo ki rehnumayi ke liye aag jalaai hai to daleel hai ke use esa ilm naseeb hoga jisse log istafadah karenge.
10. Roshani me aag jalaana bad-at aur sarkashi par dalaalat karta hai.
11. Ba-aj ashaak tabeer kahte hai ke din ke waqt aag jalaana ladai aur fitane par dalaalat karta hai.
12. Raat ke waqt aag dekhna oons ki alaamat hai.
13. Khwab dekha ke wah aag ki ibaadat kar raha hai to daleel hai ke ladai ko pasand karega.
14. Mausam sarma me khwab dekha ke wah aag saink raha hai to tabeer hai wah maal-daar hoga.
15. Khwab me aag khana yateem ke maal ko julma khane ya haraam maal khane ki alaamat hai.
16. Khwab dekha ke us ko aag ki taraf khane ka hukam diya jaa raha hai to yah kaid hone ki taraf ishaarah hai.
17. Khwab dekha ke wah aag me daakhil ho kar fir usse nikal gaya hai ye uske jannati hone ki alaamat hai.
18. Khwab me aag farukhat karke jannat kharidna bedaari me hamaam farukhat karke baag kharidne ki daleel hai kabhi tabeer uske par aksi bhi hoti hai.
19. Kabhi uske duniyawi amal ki taraf ishaarah hai yaani kher ke badale shariya shar ke badale kher kharidane ki alaamat hai.
20. Khwab me kisi shakhas ko dekha ke usko jahannum ki aag me daal kar azaab diya gaya to tabeer hai us ko maali khisaarah hoga ya ese gunah karne ki alaamat hai jo use mastahak jahannam bana de.
21. Khwab me jahannam ko iyaana dekhne wale ko chahiye wah apne waqt ke badshaah se darre.
22. Aag me dakhil hokar iski takleef ko mehasus karna fitana me waakiya hone ki taraf ishaarah hota hai.
23. Khwab dekha ke aag roshan hai aur uske ird gird logo ki ek jama-at hai to tabeer hai wah jama-at barkat payegi.
24. Kisi bayabaan me aag dekh kar us se oons haasil karna bedaari me wahshat se anseet hone par dalaalat karta hai.
25. Khwab me aag laga kar na jalaana apne waade ko pura karne ki taraf ishaarah hai.
26. Khwab dekha ke aag ne daano ko jalaa kar khatam kar diya to ye unki keemato me giraani ki alaamat hai usi tarah dusre saaman me aag lagana unki keemato me izaafe aur demand badane par dalaalat karta hai.
27. Ta-aam se khali haandi ke niche aag dekhna ghar ke sar-barah ke befaayeda gussa karne ki daleel hai.
28. Kabhi jalaane wali aag ki dalaalat badshaah ki taraf se takleef pahuchane par hoti hai.
29. Kisi hukmaran ne khwab dekha ke wah aag jalaa raha hai aur wah bujh rahi hai to ishaarah hai ke wah m-ajul hoga aur uski hukmarani ki aag bujh jaayegi.
30. Khwab me apne darwaaze me bagair dhuwa ke aag ke sholay dekhna haj karne par dalaalat karta hai.
31. Ungaliyo me aag lagana katibo ki taraf se julm wakiy hone ki daleel hai.
32. Hatheli me aag lagana sin-at me julm karne ki daleel hai.
33. Aur muh me aag dekhna gam ki alaamat hai.
34. Kisi muti-a shariyat ka khwab me aag me dakhil hona bedaari me duniyawi gam me mubtala hone par dalaalat karta hai.
35. Esi aag jiski jubaan ho aur bhadakne ke saath darrawani aawaze bhi ho’ har saamane aane aane waale ko jalaati ho kisi muhalle’ shahar ya kisi ghar me lagi huyi dekhna ladaai taa-un ya fepado ya fode phunsi ki bimaari ki daleel hai aur un jagaho me amwaat wakiy hone ki alaamat hai.
36. Agar kisi ke sath aawaz jaban aur tezi na ho to us se bhi un ilaako me maut aur hadsaah waakiy hone ki taraf ishaarah hota hai.
37. Aasman se aag naajil hone ki tabeer jyada sakhat hai.
38. Aur aasman se naajil hone wali aag agar kisi cheez ko na jalaaye to ye gair nuksaandah’ sakhat jabaan aur ladaai hone ki taraf ishaarah hota hai.
39. Khwab dekha ke kisi ilaake se aag aasman ki taraf chad gayi hai to tabeer hai us ilaake ke log gunaah karke allah ta-ala ke sath muhaarabah karte hai aur bahut shakhat bahtaan lagate hai.
40. Aag par gausht bhunana esa mu-aamala uthaane ki daleel hai jisse logo ki gibat karna pade ya jabaan se unko muti-a karne ki daleel hai.
41. Aur us bhune huwe gausht se khana sakhat gam ke sath rizk milane par dalaalat karta hai.
42. Khwab dekha ke wah khane se bhari handi ke niche aag jalaa raha hai to daleel hai ke ghar ke sarbarah ki taraf se pahuchane wali munf-at wale kaam se alaihda ho jayega.
43. Kisi ne khwab dekha ke aag ne uske ba-aj kapado ko ya badan ke kuchh hisso ko jalaa diya hai to daleel hai ke usko un cheezo me mushibat pahuchegi jin ki taraf ye kapade aur badan mansub hai.
44. Khwab me kisi jagah se aag uthana badshaah ki taraf se haraam maal milne ki daleel hai.
45. Khwab me badshaah ke darwaaze me aag jalaana mulk ajeem aur kot milne ki daleel hai.
46. Khwab dekha ke uske ghar se aag nikal gayi to daleel hai ke usko hukmarani ya nizaat milegi ya hurfat me kot milne ki alaamat hai.
47. Agar uski jalaayi aag se mashrik wa magarib roshan ho gaye to ese ilm milne ki daleel hai jisse mashrik wa magrib me uska tizkiraah hoga.
48. Khwab me ghar me aag lagana khush-haali ki daleel hai.
49. Esa aadami ne khwab dekha jis ki biwi haamala ho goya uske sar ya uske ghar se esi aag nikali jis me roshani aur shu-aa hai to daleel hai usko esa beta naseeb hoga jiske zariye wah sardaar banega – ya daleel hai ke uski biwi ki taraf se usko khushi milegi.
50. Kisi ne dekha ke wah kisi pahaad ki choti par aag jalaa raha hai to daleel hai wa alaah ta-ala ka qurb haasil karega jya daleel hai uski tamaam zaruyaat puri ho jayegi – aur agar apne watan se dur hai to sahi salaamat laut aayega.
51. Ba-aj daf-a aag bhadakna uske barbaad hone ki taraf bhi ishaarah hota hai.
52. Kisi shaadi shuda shakhas ne dekha ke uske tinur me aag jal rahi hai to uski biwi ki haamla hone ki daleel hai.
53. Sar se aag nikalnaa sakhat haraarat ki bimaari ya fenpado ke marz laahaq hone ki alaamat hai.
54. Khwab dekha ke wah aag ke bich me hai aur aag usko nahi jalaa rahi na hi uski garmi mahsus ho rahi hai to daleel hai wah sadaka wa adal payega aur yakeen aur mulk ki daulat se sarfaraz hoga – aur daleel hai ke dushmano par galba naseeb hoga.
55. Kisi makaam me aag bujati huwi dekhna us ilaake me fitana ke dab jaane ki bashaarat hai.
56. Khwab dekha ke us ke ghar me aag jalaayi jaa rahi hai aur us ke ahal usse roshani hasil kar rahe hai aur aag buj gayi – to tabeer hai us ghar ke sarbarah mar jaayega.
57. Ba-aj daf-a kisi shahar me aag lagana us shahar ke sarbarah ya us ke kisi aalim ke mar jaaane ki taraf ishaarah hota hai.
58. Baag ke andar aag ka buj jaana sahab-e-khwab ya us ke ayaal me se kisi ke marne ki alaamat hai.
59. Kisi ke ghar me aag buj gayi aur hawa usme dakhil ho kar usko roshan kiya to daleel hai ke uske ghar me chor ghus jayenge.
60. Khwab me apne bartan ke andar aag dalana ya usko apne liye mehfuz karna haraam maal paane ki daleel hai.
61. Kabhi aag ki dalaalat jinaat par bhi hoti hai – isliye ke jinaat naari makhaluk hai.
62. Kabhi iski dalaalat badshaah ki taraf se maslat kardah tawaan aur qahat aur tado ke azaab aane par bhi hoti hai.
63. Khwab dekha ke uske tandur ya chulahe ya suki batti ya us jesi aag jalaayi jaane wali jagaho me se kisi jagah par aag jal rahi hai to ye maal aur guna naseeb hone ki alaamat hai – khasusan aag ke zariye haasil hone wali mayisht khasusa sardi ke mausam me ho.
64. Khwab me uski aag ka gull hona ya buj jaana ya raakh ban jaana ya pani’ barish ki wajah se buj jaana uske mohataz hone aur apne kaam aur sina-at se ruk jaane par dalaalat karta hai.
65. Kisi ne dekha ke matake ya mashkize ya kisi ese bartan ke andar bolana jo jakur wa anaris par dalaalat karte hai – to tabeer hai ke jin logo par us cheezo ki dalaalat hoti hai un par jinaat ka asar hoga aur wah jin uski jubaani bolegi.
66. Aza-a pahuchane wali aag zaalim badshaah par dalaalat karti hai – aur agar us se logo ko istfaadah karte huwe dekhe to uski dalaalat aadil badshaah par hoti hai.
67. Kisi ne dekha ke us ne chingari uthai aur wah uske haath se nikal gayi aur bikhar gayi to daleel hai wah apni ya kisi aur ki maslahat ke khatir nahi uthega.
68. Sardiyo me aag dekhna ba-aj daf-a fal-fruite par dalaalat karti hai is liye ke ahal arab ka makula hai “aag sardi ka meva hai”.
69. Kabhi aag dekhna sona chandi ke bartan me khana khane par dalaalat karta hai jis me khana haraam hai.
70. Kabhi uski dalaalat fakr wa faakiy par aur kabhi sawaal karne par hoti hai.
71. Ba-aj daf-a aag bhadakti huwi dekhna kisi cheez ke kot hone ya kisi ke marne ki wajah se qulb me hizaan paida hone ki alaamat hai.
72. Kabhi iski dalaalat garmi ke bazaar par bhi hoti hai aur kabhi aag ki dalaalat aatish parsto par bhi hoti hai isi tarah ki tabeer noor aur jilmat dekhne se bhi ki jaati hai.