Aag Ki Roshani

Hazarat ibne seerin rehmatullah alaih ne farmaya haike agar koi shakhas khwab me aag ki roshanaayi dekhe ke usme rasta chal sake to us amar ki daleel hai ke daulat jahad payega aur agar roshani ko khada dekhe to daleel hai ke uski daulat ki jagah wahi hogi aur agar aag ka angaara chamkata huwa dekhe to daleel hai ke us mulk me sultaan ki sawari zaahir hogai.

Agar apne ghar me angaara dekhe ke uska noor ghar ko roshan karta hai to daleel hai ke uska kaam tarakki par hoga aur daulat jyaada hogi aur agar khwab me dekhe ke us angaare ko bujaa diya hai to amar ki daleel hai ke uske khandaan me ladaai aur jhagada hoga.
Exit mobile version